letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de 2 log - xr

Loading...

[verse 1]
chhatt sir pe aur haathon mein 2 roti hai
hain naukri bhi sahi na ghinn mujhe hoti hai
parivaar bhi saath fikar na hoti hai
lage life kaafi stable aakhein fir bhi kyu roti hai
firaaq mein lagi hai kisi taak mein
khoje kya sawaal jo mila hai na kitaab mein to
dhundne kya nikli hai cheez ye nayaab dekho
basera kar baithe hai dimaag mein janaab 2 log
ek bole mujhe karna kya chahta tu
duja bole kuch karna kyu chahta tu
ye sapne sapne sab miraaj hai
karliya haasil fir bhi saath naa jaana kuch
mayajaal ye bada fasta main jaa rha
chakravuy mein ghira niklna chah rha
ek pal dikhe sab duje pal goom
raaste kaafi hai par sahi nazar na aa rha
ye log baatein kare bade ghar ki
badi gaadi, paisa bohot chaiye inhe sab cheez
par inn sab se hoti jo santushti
to paise walo ki yahan pe hoti na khudkhushi
par paise ke bina bhi mile kya yahan
money aur fame ke game par khele ye duniya
to jaun main kis taraf mujhe bataa
confused hai mind mera bus ab main thak gya
[hook]
ye 2 log anek inki baatein hai
raat din har pal ye saatate hai
sahi raasta nazar khud to aaye na
par thair ke bhi hoga kya to chalte yun jaate hai
ye 2 log anek inki baatein hai
raat din har pal ye saatate hai
sahi raasta nazar khud to aaye na
par thair ke bhi hoga kya to chalte yun jaate hai

[verse 2]
nikle ghar se the sab hi kamaane ko
laut ke aaye vaapis mil jaaye kuch khaane ko
par itne se hona kya badlna bhi jamane ko
kehne ko hai shaatir fir bhi anjaane log
maqsad ki khoj mein har koi yaha laga rha
kya pta khuda ne maqsad hi likha na
push the limits, there’s always something better for you
yahi to soch ke fir yahan koi ruka naa
jawaab hai sawaal ka kya? tu bta
jo hota pta har koi dhund leta
na hota dukh life mein sukh rehta
baatein jo kahi maine na uska koi tukk rehta
ambition ya simple rehna aasan hai
marna kyu legend jab maut bhi to aam hai
ye kayda samaaj ka samaj se meri par hai
par aa gya samaj to likh dena sab xr ne
[hook]
ye 2 log anek inki baatein hai
raat din har pal ye saatate hai
sahi raasta nazar khud to aaye na
par thair ke bhi hoga kya to chalte yun jaate hai
ye 2 log anek inki baatein hai
raat din har pal ye saatate hai
sahi raasta nazar khud to aaye na
par thair ke bhi hoga kya to chalte yun jaate hai

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...