letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de sab wahi - xr (rap)

Loading...

[verse 1]
wahi halaat wahi ehsaas wahi khwaab
likhu kyu gaane main karun main kyu ye baat
kaha tha jeena khud ke liye
par jeeye khud ke liye fir kya hi jiye
pooche khuda to fir tum kya hi kiye
kya hai ki baat lage seedhi si
par seriously ye na simple koi hai abcd si
but see this ki hum sabhi yahan gulaam hai samaaj ke
hta dena ye samaaj fir naatak kya kare siddiqui
nawaz-unga-din jab kataa pahaad
pta chala jawaab shuruwat kaise hui h0m- genus ki
venus ki mars ki sitaare aur brahmaand ki
karishma ya kala kisi g*nius ki
waise to ye baatein jyada khaas na
kehte jeeyo aaj mein kya hi jaan na past ka
daastan mein aane tark wahi do
kuch ke liye science aur kuch abhi bhi aastha

[hook]
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
kahu main wahi jo soche hai aap janaab
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
main aaina tera jo hta baitha naqaab
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
kahu main wahi jo soche hai aap janaab
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
main aaina tera jo hta baitha naqaab

[verse 2]
b-rs- fool lage jhat se jhool ne
na pta chale kab jaane mil jaayein dhool mein
fizool mein fass gye hai pool mein
tairna bhi aaye na par haar na kabool hai
kabul mein afghan pastun se
sang nahi par sangeet ki dhun mein
sukoon mein ye pal kate dhoom mein
bache din kitne ye kisko maalum hai
real life real stories ki baat karein
reel life fake stories ki hi baat chale
sach sach kahein sach ki aukaat dikhe
kahani badhi but tumhe ikk part dikhe
path dikhe tujhko kya raste to uljhe hai
maat dete mujhko kya shatranj se suljhe hai
haath deke kaat dete lakshan to ulte hai
punya paap sab yahi dhulne hai

[hook]
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
kahu main wahi jo soche hai aap janaab
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
main aaina tera jo hta baitha naqaab
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
kahu main wahi jo soche hai aap janaab
wahi halaat wahi ehsaas wahii khwab
main aaina tera jo hta baitha naqaab

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...