letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de tum sau bar ruthogi - wisqral

Loading...

[chorus]
tum 100 bar ruthogi, mein 101 bar manaunga
tum jitna dur jaogi, mein utna pas aunga

tum kahti ho ki tumhara dil tuta hua hai
mein us mein apna tuta hua dil jod ke use fir se pura banaunga

aur tum kahti ho ki tumhara dil dukh aur nirasha se bhara hua hai
mein sab dukh hatakar us mein apni jagah banaunga

[chorus]
tum 100 bar ruthogi, mein 101 bar manaunga
tumhare liye taare to nahi tod ke la sakta
par tumahre liye mehnat karke sitaro mein apni jagah banaunga

aur tum kahogi ki sitaro mein likha hai hum sath nahi ho sakte
tab mein salo sitaro ko bhi tod ke le aunga

tumhare chehre pe gussa manzoor hai, mujh pe bhi manzoor hai
par tumhari aankho mein ek bhi aansu nahi sah paunga

“tum gusse mein aur bhi pyari lagti ho”
ye kah ke tumhare chehre pe ek pyari si muskurahaht launga

[chorus]
tum 100 bar ruthogi, mein 101 bar manaunga

mеra bhi hyiday chalni hua tha tumhare katho bolo se
“par kuch sach hoga uski baato mein”, aisa kah kе khud ko samjhaunga

par meri mehnat par ab kabhi prashn mat karna
kyoki athak parishram karke, tumhe pata bhi nahi chalega kab tumhara dil jeet jaunga

ek rajk-mari ko jhopdi mein grih-pravesh nahi karate
to rajk-mari ke liye swarg sa mahal banaunga

tumhara 100 bar ruthna raazi nahi hai ab
kshama karna jo bola uske liye, ab kabhi nahi dohraunga
tumhari sari shikayatein sar aankho pe
vada hai ki aur bhi acha ban ke bataunga

par fir bhi kabhi galti se bhi galti ki
to tumhe manane ke liye kya na kar jaunga?

[chorus]
tum 100 bar ruthogi, mein 101 bar manaunga

tum 100 bar ruthogi, mein 101 bar manaunga

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...