letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de thoughts - wahaj qamar, emg

Loading...

(wahaj qamar)
zindagi mai num mano zindagi bezaar si hai
tum dastak detay tab tou yeh lagta na kuch ajzi hai
lamhay 4 meray 7 jo thy beetay woh ab paas nai hain
mai nafrat bharun kesay dil mein jab wajah bhi koi khaas nai hai

iss awaaz ko pehchan
meri baat pay ab ghour kar
waqt nai tha paas kesay tu chali thi chor kar
morh kar hee ghum milay
mujhay har ek moar par
mur kar naa dekhti jab nashay mai tha chowk par

note bharay mainay aur pooray kiye shoq sab
mitti mai banay hain aur mitti say maut takk
zindagi k falsafay
shak mujhay bohot par
jung meri khud se
umeed nahi aunga laut kar

galti ki mainy kiya ehtabar
taman raat kiya qayamat ka intezar
yeh marz hai mera tu kar ehtabar
kuch kahunga na tujhay ab naa raha ikhtiyar
mujhay farq nai hai parhta mai toh khara barkarar
konsi ghadi thi jab tu hua tha bezaar
mere lun se jo bhi meray khare hein khilaaf
tu meri fikr chor apne aap ko sawaar
hook:
apno ka dukh boht, gairon sey humko gila nahi
jo dukh mera samjhay aesa aaj tak koi mila nahi
comparison kahay ka,hum saare he insaan hein
ghar mera chota, tere pass konsa qila bhae

(emg)
nafrat ka maara
kiya karta mein bichara
duniya mein khud ki gum tha
yun phirun mein awara

banjara,nah koi ghar nah thikana
kisеy guftgoo,nah koi yaar koi sahara
munafiqon sey door,halka sa suroor
wo thi hoor,par mera dil para tha choor
namak ki tarah tum uthatey mеra faida
jisne chaha aya istemaal hasb-e-zaiqa

mein qauidey sey chalta,nah waqt karun zaya par
jinkay liye kiya sab,unse nah kuch nah paya par
wajood tera door mein pehchanun tujhe saaye sey
mein dukh bayaan karun,or sab apni apni raye dein

paed bane joh kadak,wo toh kut jayega
joh jhuk jayega wohi phal layega
qismat may jiski ho likha sirf rona
wo hus bhi dey jigar to bhi aansu nikal ayega
wo khuwaab thy be rung
nah chera nah dhung
jung jeeti mainy
phir bhi mujhse saare tung

koi daastan kubool nahi
wafayein bhi fuzool thi
bewajah chorgai
paki thi asool ki

har baar mere saamne aati rahi tum
har baar tujhse milky bicharta rha mein

har baar meri maa samjhati rahi mujey
har baar usey ziyada he bigarta raha mein

koi faaslay nah thay,tu gai raastey pay chor kay
masle itne mere kay tu suney bethe ro parey
they greeting me with nicely, peeth peechay doghlay
fading in my thoughts,koi de nah tujhey hosle

yeh waqt ka takaza,mujhey nah tu dosh de
my mind f-ck,paper roll,khara nah ab hosh may
kamra band,aakhein num,baal apne noch kar
sochta hun,kiya kiya jo tu gai thi chor kar
hook:
apno ka dukh boht, gairon sey humko gila nahi
jo dukh mera samjhay aesa aaj tak koi mila nahi
comparison kahay ka,hum saare he insaan hein
ghar mera chota, tere pass konsa qila bhae

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...