letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de beh gaya - trived & wonnit

Loading...

[intro]
ohhh ohhh ohhh ohhh…
naaa naaa naaa naaa…

[chorus: no_one]
beh g-ya beh g-ya beh g-ya teri yaadon ka joh pal
beh g-ya beh g-ya beh g-ya teri yaado ka joh mann
jaaniya naa pata naa bata teri yaadon ka gagan(oooo…)

[verse 1: no_one]
tu naa mile woh toh jaane bhi janna
woh dil se mile aur yeh ek hi baahana
aankhon main tere woh gul si yeh gulshan
joh milte hi yaadon main tera banaana
yaadon hi yaadon main tera pata tha
woh jaane bhi jaana woh aankhon mai yaadein
aati naa tere bin nindein woh raaton mai
aankhein bss teri yeh mujh ko bulaale
[chorus: no_one]
ohhh ohhh ohhh ohhh…
naaa naaa naaa naaa…
beh g-ya beh g-ya beh g-ya teri yaado ka joh mann
beh g-ya beh g-ya beh g-ya teri yaadon ka joh pal
jaaniya naa pata naa bata teri yaadon ka gagan
tujh ko pata teri yaad satati hai aur behta hai joh pal

[verse 2: wonnit]
aaj takk naa hua zikar
bahar naa aa paaya nikal
raat raat ghut te hai
bheed mai naa kahi fikar
khoja main karta tha aksar
yeh pyaar ke kisse nafrat mai
uss din kaash mai rakh kar
jazbaaton ko khudke darr se
toh aaj naa pachtawa tha
naa bhidti deeware sarr se
tujse door jaana tha naa
guzra joh tere ghar se aaj main

[chorus: no_one]
beh g-ya beh g-ya beh g-ya teri yaado ka joh mann
beh g-ya beh g-ya beh g-ya teri yaadon ka joh pal
jaaniya naa pata naa bata teri yaadon ka gagan
[verse 3: trived]
mera phir wahi karne ka mood toh nhi
par move on ki baatein kahi jhooth toh nhi
dil ho rha bhaari cheeze ghoot toh rhi
and i don’t know what’s good for me
kyuki aasuon se nhi bujhti ghum ki pyaas
toh mujhse yeh naa kehna kia nhi prayaas
meri yaadon main shaamil aise hai nhi pass(tu…)
g-yi hua nhi mujhe ab takk vishwaas
aur hoga bhi kaise? hota rozz hi khed
maine dekhe tere rang kabhi dikha nhi safed
shaanti thi bhang jaise kia tujhe kaid
tabhi huyi nhi sad jab hua vicched
tu ab zyada khush tere dost kehte
unki story pe tere candid pose dekhe
hum soch rahe the yuhi khudko dosh de ke
kher ab tassali ke liye tujhe koss lete
bss rishto ke saath matt rakhna guroor
main bhi rakhu nhi apeksha, huyi joh choor
tu puche haal chaal itni kya majboor
par huye joh door toh kya jaanu kasoor(kasoor…)
beh hi g-ya chahe kia rihaaz
jazbaat main doobna mera hai migaaz
humesha se raha paani sarr ke upar
tabhi pata nhi chala kab duba jahaaz

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...