letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de azadi - shen b

Loading...

[intro]
hehehehe
shayaan tu itna khamosh kyun hai
itna gumsum kyun hai
me hoon na tere paas hehe
tera khaas hehehe

[verse 1]
kaafi saalon se tha saaya inn aankhon pe
kaafi saaron se chhupa ke rakha ab takk
kayi din aur soya nahi raaton mein
pata laga na main roya nahi jab tak
ab aansun ye sailaab bann g-ye
kaafi shauq mere khaab bann g-ye
darr aise dikhe kisi ko na ab tabhi
mere marz ki wajah bann g-ye
iss dil dimaag ki jang mein shaheed hum
kis se maangein halki khushi hum
aadatann zara hass bhi dein jo kabhi
woh bolein tu toh lage theek phir kaisa gum
zara uttro zehen mein mere
dikhne lageinge tumko weham bhi mere
bikhre padein hain kabse seham ke thehre
oh khuda mujhe zara sa rehem toh de de aha
tere dar pe hoon aaj khada
tu rehem toh dede
oh main sajde mein aaj pada
mujh ko rehem toh dede
hoon main ghulaam subhah shaam
apne hi zehen ka na
ab sehta rahunga
jo todhe tu bhi tukdo mein
tukdon se mein ye
main tujh se kehke rahunga
[chorus]
azadi apne hi aap se
azadi apne dimag se
azadi main leke rahunga
azadi
azadi apne hi aap se
azadi apne dimag se
azadi main leke rahunga
azadi

[verse 2]
khada toofaan mein ufaan pe jahaan mera
koshishon ki hai mazaar ye makaan mera
jo cheekhti deewarein sunta ye jahaan
zakhm dikhte na zehen ke
thehra wohi imtehaan mera
khauf se hoon nikla khauf ko hai jaana
khauf ne toh chheeni neend khwaab chheenta zamaana
aana bataana sab hai ye bahaana
main bahaa na jiss sailaab se wohi bana thikaana
de sirhaana pata hai neend keemti hai sone se
paana na asaan daam lagta sone pe
rone se fateh nahi hue mukaam
woh samandar hi kya jisse ghumaan gehra hone pe
qatal khud ka karta ‘gar na bhunta khaab
iss zehan ke uss weham se mujhko dil se ikhtilaf
bewajah ghulaami na main sehta rahunga
tu tod de main tut ke bhi kehta rahunga
[chorus]
azadi apne hi aap se
azadi apne dimag se
azadi main leke rahunga
azadi
azadi apne hi aap se
azadi apne dimag se
azadi main leke rahunga
azadi

[breakdown]
azadi
azadi
azadi
azadi

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...