letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de parinde - shashank, dronark

Loading...

parinde lyrics
hai ek parinda usne failaye pankh
udd raha asmaan mei usse azadi pasand
har subah, woh uthe aur b-n-le ye mann
ki aaj karunga me saer, jau jahan mera mann
par ek din toot gya tha ye uska ghamad
aag baboola pareshan, jwalamukhi prachand
jab pata chala usse ki woh ek kamre mei band
usse bhanak nahi chadha kamre pe nila rang
wahi hai hum, parindey, jo soch mei pade hai
aur jo horaha hai piche woh humari soch se pare hai
afsos hai iss baat ka ki sochte rahenge
woh bhi chahte na chahte humari soch mei rahenge
hai woh aage aur hum piche
hai woh upar aur hum niche
jo bhi socho tum woh khiche piche kese ye tareeke
unke kese hai saleeke ki jeena chahe jese
kyu hum jee nahi sakte wese, toh fir faida kya hai jeeeke ha?
ye kamra ek bhugol mei aur ye bhugol hai fassa hua iss trikon mei
iss trikon ko dekhe har nazar har dafa har ghadi
hai majal kisi ki jo iss trikon ko todd de?
hai majal kisi ki jo iss trikon ko todd de?
hai majaal kisi ki jo khilaaf mei bolde
hum uska bheja bhi kholde band karadenge bolti
aur jo bane hai gulaam hum unki jaan ko chhodd denge
uthalo hathiyar chhidne wali hai jung kyuki iss baar ghutne tekna nahi chahte hum
ya fir jung shuru ho chuki hai pehle se
sawaal hai yaha pe kya usse dekhna nahi chahte
apni aankhon se?
soch badle baton se
woh aarahe tum bhagoge
inn dhago ko kab katoge
ishare pe tum nachoge
nishane pe kab dagoge
jo marr chuka hai pehle se tum usko kese maroge
bolo mujhe!
pata hai tumhe kese? mujse pucho nahi
pese hi wajah hai jo girate hai insaan ko
hathiyar paisa unka karega lachaar hume itna ki
insaan bechdeta hai apne imaan ko
paisa paisa paisa mujko bhi pasand hai paisa
lekin bechunga nahi mei paise ke liye imaan ko
ha chahta bolna par bolunga nahi
kya pata kese kab koi khatra ho sakta hai jaan ko
na jane kesi ye hariyali jo hum chahte apni jebo mei
par junglo ko katenge
insaan bane ek mitti se toh ucha nicha kya
bhed bhav jaat paat mei kyu batenge?
kyu mere bhari se sawal ke itne halke hai jawab
kyu hai chup sab bolo bolo chup sab
kyu hai chup sab bolo mujhe kyu hai chup sab
aankhein band shravan khule mere sang karo smaran
inn parindo ki kahani ka ye hai duja charan
samajik zeher nikalo, do inn shabdo ko sharan
chalo shuru kare sare panpo ka shuddikaran

shuddhi, shuddhi, shuddhi, shuddhi

ye lakire sunke hone wali hai sabko apach
kyuki hoon batane agya me duniya bhar ka sach
tabhi pakadta hoon mic ko ye mere dharm ka dhwaj
zimmedari hai sangeet ki jese muslimo ka hajj
pehla ghar hai mera kamra dusra ghar hai mera booth mei
shaitani shaktiya cheekhe bhago bhago bhoot hai
tum kitna paani kitna doodh mei, likha hai thoot pe
par manoge kaha samjhte raja khud ko chutiye
apni mayavi duniya ke tum sab malik par gulam ho
chahte jeena zindagi na zindagi mei jhaam ho
tabhi toh mann churate ho aur taal dete kaam ko
unki hatho ki katputli tum iss baat se anjaan ho

shuddhi shuddhi shuddhi shuddhikaran

virani raat mene chikha par woh soyi hui thi
sansarik chochlo mei soch meri khoyi hui thi
zurmo ke rass mei bheegi kabhi mene dhoyi ni thi
katna charaha tha fasal jo kabhi mene boyi ni thi
entertainment industry chahe music, movie major hissa influence jo karta logo ko
rakha unki jeb mei(jeb jeb)
poori politics hai bhrasht chahe desh ho ya videsh
banake bethe bhes system ek fareb(jhoot jhoot)
mayajaal inki chaal ni chaloge toh fir bandho bora bistar
kyuki maut milegi bhet(maut maut)
tumhare mastiksh ke andar gyaan ka sanchar
khud ki soch ka srot tumne kyu rakha hai sahej ke
don’t care don’t give a fu- me parwah karu kyu?
mere andar ke shaitan khade me jhuk ke kyu rahu?
zindagi ke tohfe mei mili hai soch, na behosh
jab tak rago mei lahu me sabki asliyat kahu
toh agar hosake toh jago, isse pehle ki bekaboo
kaboo karo apni soch pe nahi hone wala jadoo
mujhe lagta nahi hai darr agar, kal bhi jata marr
meri soch nahi gulaam ye sangeet hai amar

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...