letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de kaun hu mai? - rudraksh asv

Loading...

jal raha hu aaj kyoin
na bhujne wali pyaas kyoin
na bharne wali jheel mein
pyaasa tadap raha hu main…
kaun hu mai?

kaun hu mai?

bhuj raha hu aaj kyoin
diye ke raakh sa main hu
na modh wali raah par
raahe bhatak raha hu main…
kaun hu mai?

kaun hu mai?

hain soch ka na aant kyoin
hain moh ka na rang kyoin
aanant ki gehraaiyo mein
khojta hoon moti main…
kaun hu mai?

kaun hu mai?

karma ki badolat
mujhe chahiye mukaam tha
soch mein mere bas
safalta ka naam tha
aaram bhi haram tha
raat din kaam tha
aavaam se mutmayeen
aavaam ka gulaam tha
par mil na payi manjil
jiska inteazaar tha
aadmi main dard sehta
dard to tamaam tha
par jaan lia ab to ki
rone se kuch na hona hai
karma ka yeh khel jeevan
aadmi khilona hai
sona mona jaadu tona
isse kuch na hona hai
dard jitne zindgi ke
sabdo mein peerona hai
nirash hoke kya karoon
badhna mera kaam hai
pathik hu raasto ka main
khwaish meri mukaam hai
main chalta rahunga
main chalta rahunga
aadmi main khushnasseb
badhta rahunga
main chalta rahunga
main chalta rahunga
aadmi main khushnaseeb
badhta rahunga
haaaaannnnnn
pehchaan se jo door hu
khud se majboor hu
apne ko main kosta
khudko khojta hoon main…
kaun hu mai?
kaun hu mai?

bhagta hu bheed mein
khud ko main na janta
waqt ki bas maar sehta
aadmi mein aam sa
apne se hi apne ko ab mana rha hu main…
kaun hu mai?

kaun hu mai?

kaun hu mai?

aakhir kaun hu mai?

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...