letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de aarambh hai prachand - piyush mishra

Loading...

aarambh hai prachand lyrics
[intro]
aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jung ki ghadi ki
tum guhaar do
[verse]
aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jung ki ghadi ki
tum guhaar do

aan baan shaan ya ki
jaan ka ho daan
aaj ek dh-n-sh ke baan pe
utaar do

aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jung ki ghadi ki
tum guhaar do

aan baan shaan ya ki
jaan ka ho daan
aaj ek dh-n-sh ke baan pe
utaar do
aarambh hai prachand
[chorus]
mann kare so praan de
jo mann kare so praan le
wahi toh ek sarvashaktiman hai

mann kare so praan de
jo mann kare so praan le
wahi toh ek sarvashaktiman hai

krishna ki pukaar hai
yeh bhagavata ka saar hai
ki yuddh hi veer ka pramaan hai

kauravo ki bheed ho ya
paandavo ka need ho
jo lad saka hai
wohi toh mahaan hai

jeet ki hawas nahi
kisi pe koyi vash nahi
kya zindagi hai
thokaron pe maar do

maut ant hai nahi
toh maut se bhi kyun darein
yeh jaake aasmaan mein dahaad do
aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jung ki ghadi ki
tum guhaar do

aan baan shaan ya ki
jaan ka ho daan
aaj ek dh-n-sh ke baan pe
utaar do

aarambh hai prachand

ho daya ka bhaav
ya ki shaurya ka chunaab
ya ki haar ka woh ghaab
tum yeh soch lo

ho daya ka bhaav
ya ki shaurya ka chunaab
ya ki haar ka woh ghaab
tum yeh soch lo

ya ki poore bhaal par
jala rahe vijay ka laal
laal yeh gulaal
tum yeh soch lo
rang kesari ho ya
mridang kesari ho
ya ki kesari ho taal
tum yeh soch lo

jis kavi ki kalpana mein
zindagi ho prem geet
uss kavi ko aaj tum nakaar do

bheegti mason mein aaj
fulti ragon mein aaj
jo aag ki lapat ka
tum baghaar do

aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jung ki ghadi ki
tum guhaar do

aan baan shaan ya ki
jaan ka ho daan
aaj ek dh-n-sh ke baan pe
utaar do

aarambh hai prachand
aarambh hai prachand
aarambh hai prachand

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...