letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de paking - osama com laude

Loading...

(intro/call to arms – syed anwar karamat ali shah)

na darta hu may mout say na tofan say na haar say
darta hu may agar, tau sirf apnay parwardaygar say

zulm kay ag-y jhuk jana meri adat nahi
shaqiq-e-faisal hu may kisi buzdil ka tarana to nahi

hanstay thay, kehtay thay, key tum say na hu paye ga
pochta hu may ab, kay kaun mujhay rok paye ga?

hu may vo aag jo bharak jaye tau jalaa de sabhi
farzand-e-anwar hu main, koi kaahil tu nahi

na hai wo tuj may vo taqat, na teray bazoou may vo dum
jo rok sakay iss shah ko parhnay se tarana-e-watan

(verse 1 – osama com laude)
manzil mere samnay
cheen ne wala koi nai
hip-hop key mamlay mein
larr le mujse koi bhi
saal lag-ye hai
seekh liya sab kuch
koi ag-y tau aye
career uska khudkhusht!
baatein baatein, ye baatein kara lo sab se
jag-y jag-y, ab jaggen ge sab sun key
kon hai upar ya neechay ab sab sun le
upar khuda aur neechay mein betha hun takht pe!
bohat sakht hai, bohat sakht hai
iss shah ka mizaaj bohat sakht hai
jis key naam mein sher aur karam hai
karay wo raaj, aur talvaar se kalam hai!
waqt hai kuch nai, jab tak meri jaan hai
akhir tak mehnat, aur yehi mera emaan hai
samaaj tak sach paunchana mera kaam hai
ta key fakhar se bolay, yehi pakistan hai!
choro ko nai chor na
busdilo ko phor na
hukmaraano ko hook maar maar kar tor na
kaha the sab, jab zainab royi kasur mein?
kaha the sab, jab mashal cheekha “kyun mein?”
fazool ki laraya, dusro pe charaya
har koi bana phiray iss mazab ka messiah
girabaan mein jhaank key pehle dekh lo
apnay amaal ka daagh pehle kuraid lo!

(pre-hook)
jab tak ittehad nai aye ga
tab tak ye ilaan ho ta jaye ga
tau kaan khol key suno mera peghaam
aya hun mein, paking mera naam

(hook x 2)
pa-paking mera naam (kaun bachaye ga pakistan)
pa-paking mera naam hai! (kaun bachaye ga pakistan)
pa-paking mera naam (kaun bachaye ga pakistan)
pa-paking mera naam hai! (kaun bachaye ga pakistan)

(verse 2 – osama com laude)
kabhi kabhi kyun mujhe ye lag-y hum hi
peechay hai aur sab hi ag-y barhay aur tab hi sab hi
ko aye gi hum pe hassi key dekho ye qaum tau phassi
reh gi aur eik dusro ki nasso ko kaat kaat key ujaar de gi
ukhaar de gi, hum badbakhto ko maar de gi
jab tak humari aankhen nai khulen gi
humari raatein ye rulen gi
aur ye baatein nai suljhen gi
jab sab neeyatay dhulen gi
in nafzo se jo bharay ghamand ko
wo lafz jo jag-ye andar ka manto
kabu karo apnay beto aur larko pe
warna kya jawaab den ge wo maut ko?!
mainay dekha hai wo samaa
jab koi rang ya daulat banaye na pehchaan
koi ungli na uthaye
koi churi na chalaye
haat ag-y barha key eik dusre ko ag-y le kar jaye
bus bus bus, bus karo fuss!
fasaad karnay se na ho ga hal
jo har pal rishtay karay qatal, aur hum jal jal
key eik dusray se dur huay har pal!
ab waqt hai eik baaghi ka
banay muhafiz aur thamay ga
sab key dilo ko jag-ye ga
in maray armaano ko uthaye ga!
bola mujhe key tu aisay kar waisay kar
iskay sahara le key tu aisay chal waisay chal
bola mujhe key tu kar nai sakta
bola mujhe key tu haar key marr jaye ga
lekin mujhe pura yakeen hai apnay rabb pe
aur mera hunar eik shola jo niklay lab se
andar ka jaan nashee jo tha qaid
nikla ab baahir ye shayar-e-azam jo hai quaid!
han mein! mein sippa salaar
jo karay barbaad, ye nakli mazaar
le kar aja apnay 100 ya hazaar
demaghi bimaar, mein kar dun ilaaj
apnay lafz se, jo kabz the ab phatt re
in sab key sarro pe jaisay hai ye bombay
meri ye aag kabi na buj paye gi
aur meri kamyabi bhook in sab ko kha jaye gi!

(pre-hook)
jab tak ittehad nai aye ga
tab tak ye ilaan ho ta jaye ga
tau kaan khol key suno mera peghaam
aya hun mein, paking mera naam

(hook x 2)
pa-paking mera naam (kaun bachaye ga pakistan)
pa-paking mera naam hai! (kaun bachaye ga pakistan)
pa-paking mera naam (kaun bachaye ga pakistan)
pa-paking mera naam hai! (kaun bachaye ga pakistan)

(outro – no front)

hey yo beast, talk to’em
whole city behind you o
let’em know how no front does this
hey yo myca c! (mikey!)
yeah! our boy holding it down
all the way from the 407 to the p-a-k
you already know, we stay ready o
and all of pakistan should now know, there will only be one paking!
amen! amen, no front!

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...