letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de indradhanush - kalakartist

Loading...

[verse 1]

laal rang chaaro aur maar kaat
dharm ke naam per ya fir ho koi jaat paat
maanavta hai kaid mandir maszid mein rahe baant
hota rape toh galti ladki ki nikaale samaaj

rang haraa hai prateek santulan ka
per prakriti aur hum mein door tak santulan na
hariyaali jag ke liye gehna dulhan ka
per dulhan ka gehna chheen ne wale hai khud hum na

mann mein shanka khud ke imaan per
neela rang kahe mile sab gyaan adhaar per
rakh dherya tu mann se prayaas kar
per badal diya rango ka arth kalank samaaj per

jhooth ka bolbaala bola jaata sachh nahi
peela rang kehta hai kya paaye samajh nahi
bane vidvaan per baato mein inke tark nahi
samaanta ka padhate paath aur kare fark bhayi

khud ki zimmedaari khud ka bal
mann ko sehej rakh jaaye gir khud sambhal
apne khade virudh agar
dekh gehra neela rang matlab samajh
rang bengani milaata hai swayam se
batata hai ki karta dharta khud hi hai swayam ke
rang naarangi karaata hai abhaas
jeet ya haar sab nirbhar lagan pe

[hook]

toh kyun
bachi na vajah ab jeene ki
lage mujhe ab yeh jeena bhi saza sa kyun
apno ka sath lage ek behti si hawa sa kyun
gairo mein dhundhoo apnapan ya behtar toh marr jana ho
mann bharr jata kyun
khud se khud ka khud main khud ko tadpaata kyun

[verse 2]

tha samay musibatein chaaro aur thi tab
chhod fikar khud se ladi jung rakhi soch nidar
parichit samay ki vyatha se fir kyun aur vilamb
jeet ke kareeb hu ya aa rahi hai maut nikat

aur nikhar jaate aur vikat hote dukh
hoke khush mehnat jaari aate nahi mauke khud
chahta ni bane koi g-ya ban jo main khud
khoje sukh raat bhar kaagazo mein hoke ghum
samay ne seekh di samay sang badle rang sabhi
sang nahi koi per naah ruke teri jung kabhi
band ghadi per samay pakde har shan gati
kalakar marta kala ka naah hota antt kabhi

samay ne seekh di samay sang badle rang sabhi
sang nahi koi per naah ruke teri jung kabhi
band ghadi per samay pakde har shan gati
kalakar marta kala ka naah hota antt kabhi

[hook]

toh kyun
bachi na vajah ab jeene ki
lage mujhe ab yeh jeena bhi saza sa kyun
apno ka sath lage ek behti si hawa sa kyun
gairo mein dhundhoo apnapan ya behtar toh marr jana ho
mann bharr jata kyun
khud se khud ka khud main khud ko tadpaata kyun

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...