letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de khayaal - j trix

Loading...

[chorus]
khayaalon me main dooba mujhko hosh nai
zamaana aisa isme mera dosh nai
zabaan pe leke phool rakhhe haath me kaatein
hai tabhi apne zyada idhar dost nai!

[verse 1]
12 baje raat ke main baatein karta khud se
aadhi zindagi nikal g-yi aur aadhi gupt hai
door waale saath kitne paas waale chhoot g-ye
kharid lete the duniya jisse ab bas wo
chhootte
ye jo waqt hai na badal deta sab kuch
koi jhoom ke naache baarish me toh kisi ke liye bas dukh
ye dhun bhi kehti mujhse kuch toh tujhe kuch aur
tu samjhega toh bohot yaha par samjhega nai sab kuch
kyuki haalaat alag, insaan aur jazbaat alag
buniyaad alag khwaab aur fariyaad alag
hume kare agar kaam wahi wo phir bhi rahega bohot alag
kisi ke liye tu sahi, kisi ke liyе main galat
pair zameen pe rakh ke dekhе aasmaan ke khwaab
kyuki udne se zyada grow karne ka hai shaukh
ye chahte hisse, hum chahte badhe pura lot
ye bante kisse, hum kahaani banke jayenge laut
amar scene me
loyalty hai gene me
royalty khwahishon me
disloyalties na dreams me
royalties hai streams me
quality pe yakeen hai
chahte mile real log na
na lawyers dikhe beech me
par yakeen pe baimaani padti bhaari
zabaan ho g-yi sasti, karti note ki sawaari
jawaan ho g-yi basti toh sheher ko chaldi gaadi
parivaar reh g-ya peechhe toh ab aani kiski baari
[chorus]
khayaalon me main dooba mujhko hosh nai
zamaana aisa isme mera dosh nai
zabaan pe leke phool rakhhe haath me kaatein
hai tabhi apne zyada idhar dost nai!

khayaalon me main dooba mujhko hosh nai
zamaana aisa isme mera dosh nai
zabaan pe leke phool rakhhe haath me kaatein
hai tabhi apne zyada idhar dost nai

[verse 2]
galti itni ki ki galtiyon ki ab ginti nai
afsos bhot bhaari dil ye umeed thi nai
sometimes i let my people down, but unko bhi na hai khabar
ye galtiyan mere saath jayengi kabar
insaan sab hai, hai kami sabke andar
baahar se dikhte tough, hai nami sabke andar
agar dil na khush toh bank amount hai lagta bas ek number
ek jhooth banayenge sach , phir ek se bante chaar
phir jhootha rahega tu, aur jhoothe tere yaar!
burayi jo ek dikhi toh phir achayiyan sab bekaar
phir ghaw padte aise jo na de sake auzaar
kabhi hum taufa leke baithe khushi ke intezaar me
taraashe na toh kya pehchaan bane heere ki
dil hai naazook, tabhi zaroorat humko seene ki
kal ki soch me kare aaj kyu barbaad
hum saare khushnaseeb , bas zaroorat humko jeene ki
[chorus]
khayaalon me main dooba mujhko hosh nai
zamaana aisa isme mera dosh nai
zabaan pe leke phool rakhhe haath me kaatein
hai tabhi apne zyada idhar dost nai!

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...