letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de chalo chhodo - heartzr

Loading...

banjar zameen deke kehte seench lo
rona aa raha hai aankhein meech lo
woh baitha jo hai kuwe ke kinare pyasa
woh doob raha koi usey kheench lo

jee ke roz thaka hoon main
kabhi tumhe zakham dikhaun main
jyada nahi itna tum keh do bas
ke aaja tujhe gale se lagaun main

parde ka rakhta lehaz main
do chehre walon se wakif nahi
duhai duhai lagai khuda se salamati ki
par main haafiz nahi
har harf mein hai sifar kyu?
bekadaron ki kadar kyu?
chhoone talak nahi denge woh chaukhat
toh dhundhte rehte ho ghar kyu?

mauka parast woh dost hi nahi
chehra badalne mein force hi nahi
jab jab tha usko haal bataya
na, uski aankhon mein rosh thi nahi

ab bina uske bhi chal lu main
aur thoda khud par hi haslu main
aaj ek jaam bhi bhar lu main
baat thodi teri bhi kar lu main

tu upar hai rehti and i’m down
par lat tujh se aisi ke kya bataun
jaise main daldal mein taihar raha hoon
na bahar aaya jaata, na doob raha hoon

jaise ulkapind awara ghoom raha hoon
tu afeem thi toh dhuwan ab main phoonk raha hoon
teri eid thi toh chaand ab main todta hoon
ab main nashe mein hoon kuchh bhi bolta hoon

patthar hai woh, uska dil sakht?
ya aane ka mila nahi usey waqt?
din theek, aati mujhe yaad tab
doobta andhere mein ye shehar jab
bahane hain hazaar banane ko
taraane hain hazaar gun-gunane ko
man phir bhi chaahe wahi gaane ko
jo usey raazi kare wapas aane ko

khair, kaise ho tum aur tumhare dost?
nahi hoon main yaad? chalo jaane do
sawaal ek puchhu aap chaahe toh
kya padega farak hum mar jaaye toh?

sab… chalo chhodo

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...