letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de shaayar - harjas harjaayi

Loading...

[tag:]
k you smoking fire

[chorus]
shayri likhi dil me choth aa g-yi
jo dikha mujhe wo tha nahi
zindagi koi sauda nahi
jab jeena shuru kiya, mujhe maut aa g-yi
maut ke saamne mai karta aaram
mar g-ya toh milenge allah-ram
mai toh zindagi se paana chahta hun chutkara
tabhi baar baar ye bhar deta jaam

[verse 1]
zindagi haseen, par maine munh moda
sabka dil joda, apna dil toda
khud par aaya gussa
inko kyun chhoda
sayad chutiya sa hai ye mera dil thoda
isko bahar mai nikalu aur jala dun abhi
purani si ye yaade mai bhula dun sabhi
mujhse aake milo dekho mera jaadu kabhi
mai hun saayar, mai toh lafzon se hila dun zamee
shaayrana soch, gazal hai dimagh
mai khrab par nazam hai ye pak
pata ni chala kab shuru hui baat
pata ni chala kab khatam huye aap
kitne aaye par koi daur hi ni tikta
mai likhun jaise koi aur hi hai likhta
sikha zindagi se chhod di thi shiksha
mai bechun dard kyun ki gum hi hai bikta
[chorus]
shayri likhi dil me choth aa g-yi
jo dikha mujhe wo tha nahi
zindagi koi sauda nahi
jab jeena shuru kiya, mujhe maut aa g-yi
maut ke saamne mai karta aaram
mar g-ya toh milenge allah-ram
mai toh zindagi se paana chahta hun chutkara
tabhi baar baar ye bhar deta jaam

[verse 2]
kaha se aaye hum, kaha ko jaana hai
sabko pata hai sach, fir bhi chupana hai
koi kuch bolta ni sabke munh par taala hai
mera manager seedha upar waala hai
rappero ke maine munh me daala hai
kara mic check ab saayri se paala hai
mai hun raja harjaayi mai diwana hun
420 mera time aane waala hai
na koi naya, na purana, na koi bada chota
diss game ne kala ka yaha gala ghota
yaha art hua khatam kalam sabka toota
sabse bada rapper hi hai sabse bada jhootha
koi mai naam na lun kisi se koi dikkat ni hai
teri galat fehmi tere bina kuch kami hai
kuch bhi thamta nahi, ye zindagi chalti rahi hai
meri galti hai, maine galtiya sahi hai
allah maalik mera, rabb raakha raha
duniya soti rh g-yi, harjaayi jaaga raha
khuda khud sapno me aata jaata raha
agle janam fir se milenge ye waada raha
[outro]
waada raha
waada raha
agle janam fir se milenge ye waada raha

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...