letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de mera aagaaz - ekatra

Loading...

[intro]
yo!
it’s your boy
ekatra

[verse 1]
main aawara aawaro se lekin, main sunta naa baatein gawaro ki
main kavita ka saar hoon jaise, main boolu jo baatein hazaro ki
main dikhu bujhi raakh ke jaisa par jalti hui ek aag hoon
aasani se jo na hota bayan, main rootha hua wahi raag hoon
aaftaab hoon
un raato ko aakho mein aata hua tera khwaab hoon
main lafz hoon
un dheemi hui saanso mein chlti hui teri nabz hoon
main rakt hoon
insaan bhi, kro shikayat mujhse hain laazmi
naadan si fitarat thi meri ab ban betha thoda aalsi
kamal thi wo yaadein teri, main karne laga ab shayri
itne waqt se meine dekha hein
mujhse hoti na hain kisi ki bhi nokri
ab do ghadi ko saans bhi loon to jalne laga hoon in raasto pe
raaste kam wo haadse hein jeena seekha un aadaton se
in labo pe lahon hein tehra baatein meri ek dum kehar hain
mere safar se chlak ke aansu ban g-ya ab to zehar hein
dopehar se shaam talak betha hoon ginta main uski baatein
thi jo raaten main kaat chuka ab gher leti hein uski yaadein

[chorus]
meri aawaz or mera saaz
aaj badla hua hein mijaz
hein kuch raaz, jo hein khaas
aaj hua hein meri aagaaz

[verse 2]
aadaton se mein sarfira
main pagal hoon kuch ajeeb sa
raasto mein mere main gira
fir chal diya mein teer sa
tujhmei laga, tu hil g-ya, tujhse baha kuch khoon sa
teri vaeriyat ka ye sila mere sar chadha kuch junoon sa
main noor sa paak hoon
bad-dimago ke liye mein shraap hoon
main dhoop hoon
aflaak se chanti baarisho ki main boond hoon
meri aakh mein palti aag hain
us aag se krdu kaakh main
jazbaato ki kuch jhalak hain alag, main bolu bhi to raag mein
naraz main tumse nahi, tum to khud he fase ho sansaar mein
meri haar mein, mera haath tha, khud ne khud he kara barbaad main
aawaz main bezubaano ki, meri bol lage nadano se
anjano se, kuch log kre mera peecha to heiraan hein
wo dekhkar aawargi meri kahe ye to badnaam hain
itminan se us beech bazar mein maine un sabko peeta hain
har lafz mera jeeta hai
mera har gum khudse wo seeta hain
maine jo kaha mujhpe wo beeta hain
ye rap na hain kavita hain

[chorus]
meri aawaz or mera saaz
aaj badla hua hein mijaz
hein kuch raaz, jo hein khaas
aaj hua hein meri aagaaz

[verse 3]
ek raat mein main likh du har wo baat bayan haalt ho
meri zaat hain mosiqui, mera bole har jazbaat wo
sogaat ho mujhpe uski sar pe mere uska haath ho
sashar wo chamke jaise aasma mein mehtaab wo
nayab wo dard meri mein jeeta jiske saath hoon
firta raha bhatakta hua musafir is kaynaat mein
kuch seekha he hain har baar maine sabdo se mulakat mein
din-raat bus main ye sochta
wo kya hain jo main bolta
bankar firta kafir fir bhi us kuda ko poojta
apne ehsaas se main khafa
jane kyu khuse hoon juda
alag jhalkata sabse hoon
khud he se bewafa sa hoon
khud he mein main basa sa hoon
unn raasto par bicha sa hoon
koi pooche mera haal to main kehdu bus naya sa hoon
ajeeb hain ye ankahi si dastan kehta main savar gya
abhi to yhi tak tha palke jhapki, kidar gya
khabar hain kya, jo main bola wo main kar g-ya?
jo darr gya wo samne aya roota roota mar g-ya

[chorus]
meri aawaz or mera saaz
aaj badla hua hein mijaz
hein kuch raaz, jo hein khaas
aaj hua hein meri aagaaz

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...