letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de pyaar ke paudhe - borgle

Loading...

toote raste milte kiya unko paar khudse
tooti manzil pe bikhre kismaton ke saar ugte
manzil thi door meri khud se numaaish thi
mai chodu na ye rasta bhatka saalon ab na tarasna
yaad mei tere, jo tu na saath mei mere
mai bhulu kaise tujhko jiye jo tu khwaab mei mere
raat, tere baad, kate jaam se mere
teri yaad, mere saath, shuru naam se tere

mai tooti kashti banke dooba mai jahaaz titanic
molly made my psycadelic karta bhai bhi panic
dafna ke khud ka pyaar mai sawaalon mei tha khoya
par halaat ke khatir fir roya pyaar ka sainik
mai karawahi mei fasa mai lu jawaab kisse
jawaab se anjaan par gumaan khud pe
hoke rubaru hakeekat se jaana is baar mai
sawaal ke pehlu mai chipte raaz kitne
raaz hote hai chipaane ko par chupte nahi
kaash hote hum jo saath aansu dikhte nahi
baaz aate hum bhi kaise tujhko yaad jo kare
hum teri yaad mei jo bheege kabhi sookhte nahi

ham bheege bheege
yaad mei jo jeeyein jeeyein
pyaar ke vo paudhe bokar
aansu mei seeche seeche
toote badan mai hu khada tere dwaar pe
toote bharam jo tha laga kabhi pyaar ye
foote karam rahe shayad tere yaar ke
jo pyaar mei naseeb hi kharaab lagaataar hai
toot-ta magar kabhi bikhara nahi
maal f-kta magar abhi charsi hai
odhhi pyaar ki jo chaadar mile ched kaafi zyada
dundha har jagah mila koi darzi nahi

dhoondhu garmaahat teri pyaar ki vo chaadar
jo buni thi apne haath se par ched kaafi zyada the
anjaani aahat sunke peecha karke paaya
tu udhede apni chaadar khud ke haath se andhere mei
lafson ka saaya fusfusaya mere kaan mei
tu bekadar ni, bedhadak
samaane meri aas mei
dikhta tha sab kuch par khush tha jhoothi ummeed mei
mai dhaaga leke silta chaadar
ulfat ki mureed mei
kitaaben likhdeta par padhti ni toh faayeda kya
ye geet kiya naam tera shafqat mujhko le duba
jab bhi sunta khud ke sangeet tere baare
aansu jhalke mere yaad karke jo tu kabhi thi hi na
jhuthi tasveerein tere saaye ki bana baitha dimaag mei apne
uss se karne laga pyaar bhot
toota bharam jo mera dil ne mere dastak di
hakikat ko apna ke barkat pyaar ki jo ho g-yi maut
toote raste milte kiya unko paar khudse
tooti manzil pe bikhre kismaton ke saar ugte
manzil thi door meri khud se numaaish thi
mai chodu na ye rasta bhatka saalon ab na tarasna
yaad mei tere, jo tu na saath mei mere
mai bhulu kaise tujhko jiye jo tu khwaab mei mere
raat, tere baad, kate jaam se mere
teri yaad, mere saath, shuru naam se tere

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...