letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de unnis19 - blobhit

Loading...

baatein ghusti hain kaan me
par nikle dimaag ke bagal se, main kya karun bro?
baatein inko samajh me ni aati
par bhaunk dete peeth peechey, kya karun bro?
slow tempo wale gaane bhi samajh nahi paate
fast fast rap kya karu bro?

baithe kabar pe teri , macha dun hangaama
fir kehna na mujhse, kyun maut bhi raddi
karta na rehem, jab zakham pe malta
hai namak koi, karta kartoos jaisa kalam, ye haadsa
shor sannaate ka zyaada, jo macha deta sabse zyaada
tabahi, na aafat hai aaya karta, deke dastak, gino das tak

karun trap trap trap, banger!
aaya fir se leke main tabaahi tope
chaahne waalon ke liye dhamaaka laaya
jalne waalon ke liye, tanhaai lo

chaahe koodey ke dher ke
takht pe kyun na ho baithe
ghamand inka chuuta aasmaan
badhe taap maan
jab main drop karun gaana naya
lage hua haadsa

parvati kehti satan se
ye ladka dharti puri beat pe ugalta
na jhelta hai kachda
har harkat se de deta maathe ko sadma

haalaton ke phatke padey
toh main jee g-ya zindagi
aadat toofani
jawani ka jhanda hai gaadha
main tha athhra (18) ka
par ab ho g-ya unnis (19)

bitaayi maine raat jo kafan me
toh chakhi maine kittni hai mehngi hawa
dikhaayi nahi deta inhe
kittni hai chakhi maine maut, aur kittna nasha

mera mann kare
chaand ko bhi daal dun main cup me
aur kha jaaun
jaise wo hai ice cream
jaise pen mera dead puppet
karun black magic, hai ye voodoo

bobby tarantino, 44 bars
gaana bhara pada pure logic se
crush inki dhinchak pooja
aur medusa ko dekh ye hilaate
hain ittne nikamme
kare la parwahi pe apne naaz
na bachpana g-ya hai inka abhi bhi

hain khud ko samajhte pata nahi ye kya
milaaya jo haath, toh chadhe ye sar pe

dikhta jaisa bhi, akal hai ittni
dikha dunga taare chamakte din me
farak nahi padta, jab baaton me dam
ho maathe pe bandana, ya topi sar pe

tu hai boat head, toh main marshall
house of marley, ya bang and olufsen

jab bajun gaano pe, toh bars sun
ho jaaye kaan tere, dono garam
phatey pardey patakha ye kaan pe
hile samajh, jaise aaya earthquake

loota chain tera, nahi saans bachi
kiya bohot flex, ye hain ham
dhadakta dil, hai khanjar ye flow
do pankti kardey teri saansein khatam

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...