letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de jugnoo - ashwin adwani

Loading...

sambhal ke chale
the hum kinaaro pe
sambhalna nahi
kehti thi nigaahon se

mushkil se main
lehron se chupa hoon kahin
par uska jahaan
lehron mein chupa hai kahin

nayi kitaabon ki
khushbuon ki tarah
tu mujhko
behka de

teri wajah se toh
seekha hoon jeena
teri tarah
banna chahoon main

udd chali woh
jugnuon ki tarah
bann ke raahon mein
raushni ki wajah

udd chali woh
jugnuon ki tarah
choo ke aasman
badalon ke darmiyaan

iss shor se ghar tera
kahin door hai
jahaan ho basera
tera waheen noor hai

kahaani teri
likhi hai aasmano pe
tere sang chal doon
tere jahaanon mein

udi patang jaisi
holi ke rang jaisi
khushiyan hai
tere aangan mein

teri wajah se toh
khud ko jaana
teri tarah
banna chahoon main

udd chali woh
jugnuon ki tarah
bann ke raahon mein
raushni ki wajah
udd chali woh
jugnuon ki tarah
choo ke aasman
badalon ke darmiyaan

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...