letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de na akela main kabhi bhi - air atman in ravi

Loading...

na akela main kabhi bhi

na akela, main kabhi bhi || prabhu toh har jagah..
har jeev mein woh, har shay mein woh || na main akela..
mere andar prabhu basta.. || mujhe ek pal nahi chodta..
na akela, main kabhi bhi || prabhu toh har jagah..
har jeev mein woh, har shay mein woh || na main akela..

lagta akela jab || mann yeh bhatakta hai..
pal mein ehsaas hota hai || na main akela..
pal pal woh mere saath..|| kabhi na woh chodta..
jagte woh mere saath.. || mere saath vo sota..
dil jo dhadakta wohi || wohi sans leta..
shakti jo meri wohi || wohi hai joh jeeta..
wohi hai joh jeeta (x2)
na akela, main kabhi bhi || prabhu toh har jagah..
har jeev mein woh, har shay mein woh || na main akela..

karta jo bhi hoon main.. || sab wohi karta..
uske bin-toh main kuch bhi..|| kar na sakta..
gaata toh wo main nahin..|| na bhajan likhta..
karta toh sach mein prabhu..||sab wohi karta..
bansuri main hoon prabhu..|| sangeet deta..
uske bin main yeh jaanu.. || kuch bhi na hota.. ..
kuch bhi na hota.. .. kuch bhi na hota..
na akela, main kabhi bhi || prabhu toh har jagah..
har jeev mein woh, har shay mein woh..|| na main akela..

saans jo leta main.. || jeevan wohi deta..
unki kripa se main..|| dharti pe jita..
prabhu jo nikal jate hain.. || pal mein maut hoti..
chalta phirta jo tha main..|| hojata main mitti..
ahankar kuch bhi nahi || tann badan kuch bhi na..
sab kuch toh hai wahi.. || main kuch bhi na..
main kuch bhi na.. main kuch bhi na..

na akela, main kabhi bhi || prabhu toh har jagah..
har jeev mein woh, har shay mein woh.. || na main akela..
mere andar prabhu basta..|| mujhe ek pal nahi chodta..
na akela, main kabhi bhi || prabhu toh har jagah..
har jeev mein woh, har shay mein woh || na main akela..
na main akela…

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...