letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de shehr e karachi - abakhail

Loading...

hook: aja merey sath beyth
is sheher key halaat deykh
deykh deykh
kesey roshniyan hain sarkon pey
karachi ki galiyan sunsaan parein
aesa koi waqt hi nhi
roshni har waqt,khatra har taraf
12 bajay jesey yahan shaam ho
12 o’ clock we enter the high zone

verse: shaheen atay yahan key baaz nhi
shayr nhi likh rhay hum barz bhai
raaton ko aien barz dimagh mein neend nhi
mout yahan ki saqafat purani
hulkay mein atay nhi
asman sey tapkay bhai
karachi ki sarkoun per ghoomtay
nashay ker key galiyon mein jhoomtay
silencer utar kar shapartar bhagatay
one wheeling karkay janazay uthatay

akela na phir yahan, 12 kay baad pistol bahar
koi nhi yahan khatray sey bahar
karachi key yey raaz, dar bankay sarkon per inkay raaj

is sheher mein jo ao g-y
so ga ya jago g-y, ruko g-y ya bhago g-y
yahan nhi tik pao g-y
chaltay phirtay thok deng-y, gali mein dal key chordaing-y
andheron sey yey aing-y, ankhay band karjaieng-y
kesa yey sheher peechey chor jaing-y
sarey milkay isay toraing-y
hum phir bhi nhi choraing-y, hum thehreng-y
nhi is per peeth nhi phereng-y
iski galiyon mein hum ab bhi cricket kheyleing-y

yey wo karachi nai jiski hum misalein dein
roshnyon ka sheher doob rha hai andheron mein
cultural varieties puray mulk ki hain is mein
logon ka samundar aur ismein hum gum hain

hook: aja merey sath beyth
is sheher key halaat deykh
deykh deykh
kesey roshniyan hain sarkon pey
karachi ki galiyan sunsaan parein
aesa koi waqt hi nhi
roshni har waqt,khatra har taraf
12 bajay jesey yahan shaam ho
12 o’ clock we enter the high zone
verse: barish ho tou doobay poora sheher
anjaan na tha koi phir bhi ghumein jesey ghaer
done that, been there
no one here’s sincere
trusting anyone is like a sin here

sarkon sey waqif hai jub, laraing-y akhri dum tak, dabtay rhain g-y kab tak
mareing-y jab, hustle jari rakhein g-y tab tak
log khelein yahan checkers aur hum chess key hain king
night life yahan jaisay vegas wali bling

zainab market sey hyderi
lyari sey new karachi, lighthouse sey tariq road, chand raat per niklay awam sari

yehi paida huway, marein g-y bhi yahin
karachi wala swag la kar dikhao aur kahien
karachi ki sarkein dor rhein hain, bhag rhein hain

vibe yahan ki pooray pakistan sey alag
munfarid andaz aur karachi ki ye aura hi alag
nuqsan bhi alag, faiday bhi alag
is sheher ki hawa aur hustle bhi alag

inspired by eminem-lamar
yunus n pac, anjum and nas
yunus wali vibe hai khas, ati nhi kisi key pas
na jokhay wali beat, na anjum wali heat hai
likh rhay ganay isi umeed mein key bajein g-y repeat pay

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...