letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de dikh raha hain - umaid

Loading...

(hook)
sar-e-shaam lu naam tera! jaam aaya hai
hai haraam yeh kaam na araam aaya hai

tha gumaan tu milne sar-e-aam aaya hai
tha anjaan mai, tu ban ke mehmaan aaya hai

(verse 1-rasil)

seher-e-dil se mohabbat ka janaza uth raha hai
zeher hai dil mai, hai chahat bhi tanaza uth raha hai

tere dil mai hai meri nafrat, chupana dikh raha hai
tere saat ab mera dushman zamana dikh raha hai

haqiqat hi kuch aur thi, bahana dikh raha hai
mera khoon meray haaton pai lagana dikh raha hai

daman par tere daag hai mita-na dikh raha hai
hijr ki hawa hai ab saza devaana likh raha hai

chooda sab thama rab ka hai haat mere saat teri yaad bhi hai
sukhe lab aakhen laal siyu joint day night hun udaas mai tu shaad kahi hai…

par yeh jaan lay ki tu kabhi abaad nhi hai
hai wafa meri karz tujhpe tu abhi azaad nhi hai
jaan lo tum ab bcha koi khwb nhi hai meri aakhon mai
zahir hai ab ap hi jhuty thay pakky nhi thay waadon ke

(hook)
sar-e-shaam lu naam tera! jaam aaya hai
hai haraam yeh kaam na araam aaya hai
tha gumaan tu milne sar-e-aam aaya hai
tha anjaan mai, tu ban ke mehmaan aaya hai

(verse 2-umaid)
mera maan lena mohobbat meri thi muqamal
dia saath tera jahan pe tune choda tha ghar

be sabar bahane deta ,hoon main beqadar
sena sard huva hain mera , jo tha tera ghar

jana hain door jahan pe nhi mileghi mujhe tu
baha lahu, kahan main ? aakhir kyu main isa hoon?

bekhabar, loghun se main kyu itna bekhabar ?
dafan ye dard teri sari yaadien beasar

tere baatien mere zehen main yun laut ke kyu aarhi
kala kari ko kaise karegha kabu main sharabi

kalam khali kaise kroghe ? dungha nhi main safai
kalam bhari panu pe likhe dard ye siyahi

moula mout dede mujhe rehna nhi mujhe yahan
saare door chale gye mujhse kyu baithe khafa

deekhe door se ye mujhe kyu main hoon itna bura
maula mout dede mujhe mere se horhe gunah

(hook)
sar-e-shaam lu naam tera! jaam aaya hai
hai haraam yeh kaam na araam aaya hai
tha gumaan tu milne sar-e-aam aaya hai
tha anjaan mai, tu ban ke mehmaan aaya hai

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...