letra de sawal - taynali
( neel )
thaa khud se sawal yeh mera ki akhir lagega aur kitna hi wqt
tha khud se sawal ye mera ki baakiyon ki tarah choru na sab
aur beeti hai adhi umar na jaanu ki aur kitna hai baaki sabar
maa do roti deke puche ki tere liye humko ab lgta hai darr
maa mujhko bhi lagta hai darr hai. mujhko bhi hai mere kal fikar
mai jaanu ki guzre tere dil mai kya aur tu bhi ab ho chuki tangg
bas deta hun jhuta dilaasa aur shayad mai andar se raha hun marr
par seekha hai hausla baaap se kandhe majboot toh chaalu safar
par andar se tut ta roz hun dil ko tassali de dhundta
bojh hun
mai khawabo ko chumta roz hun ab itna sambhala
toh kaise m chorh dun
na chale dimaag ye bheed mai aur deke ye pyaar
zamane se seekh g-ye
in sbko hai marne ki aas toh dawat mai aaj hai shayar in cheel ke
mai jaanu kya duniya ki reet h ko beeta hai bachpan
na naangi dahleez thee
maa ko pasnd nhi the log hamne bhi rkhli the dooriyaan theek si
aur pyara hi tha sbka ghar pe toh bndish mai bandh ke
acchi hi seekh di
aur nikla mai ghar se jo bahar azadi paake
kra sb kch ajeeb bhi
mai roya hun nashе ki halat hosh mai reh ke
bas rehta hun sunn
yе bediya haath pe bandi khulti hai tabhi
jab likhta hun gum
hai kala nawazi khuda toh rkha bhrosa aur kre karam
mai dil se nibhata hun naate prde ke peeche chupata nhi ramz
maine khoye h apne bht sanjoy the spne bohot
aur marr marr ke kati roz ye zindagi bojh toh rha hun dho
na mere h mehnge koi shauk na parwah kya bolenge log
zamane se haare h jo wo dete salahein toh
( chorus )
ek sawal hai aapse
leke ghume dariya hum jo khaare aankh m
khoje hum kinare kaha toofano ki aad me?
khole kaha se kadiya, dhoonde khoje moke zariya hasne ki bhi koi wajah
(verse)
chehre padhne seekhe maine tabhi mahir hua apne haaw bhaaw chupane m
wo kehte ki mardo ko katraana nai chahiye feelings ko baahr dikhane se
par sunta nai koi bariki se, baki apni karte intezaar bari ki
mai andar se mar rha tha office se haste huye maine chhuti jab mangi thi
mai ladko se chidta hu haske jo baate karte yaha depression anxiety ki
adhe se zada log sahi h bimari bas alas or gair zimewari ki
mai ne nahi bola kabhi k mai theek nahi shayad wo meri khuddaari thi
par andar ek kaanta h chahe m jitna bhi bhaag lu, badhne deta hi nai
or jitna bhi kehle koi mujhse h pyaar h unhe, mujhe hota bharosa nai
kai dafa khudko batata hu pyaar karti h wo mujhse, ye dokha nahi
kai dafa baith k khudko karwaata hu yaad jo hoga wo hoga sahi
par kai dafa sochta hu jo hoga hoga par usse tu karna samjhota nahi
maine kaati apni zindagi se sari toxicity
downside iska, janm din pe jhute muh bhi milti nahi ab dost ki wishes
aaj lage shayad mai hi toxic hu
sab sagge sare g-yab, jaise bhoot
mai ek call pe hazir hojata hu par madad maangte time itna sochu kyu
( chorus )
ek sawal hai aapse
leke ghume dariya hum jo khaare aankh m
khoje hum kinare kaha toofano ki aad me?
khole kaha se kadiya, dhoonde
khoje moke zariya hasne ki bhi koi wajah
letras aleatórias
- letra de minor differences - rong (band)
- letra de gather dust - teflon sega
- letra de lean in my fanta - lil shrew
- letra de exodia (remastered) - 6ix9ine
- letra de dead - superior (rapper)
- letra de ya - tommy $trate
- letra de dig, diggedy dig (the digging song) - tom fletcher
- letra de la confidential - tristan fowler
- letra de please not now - anxious
- letra de low life - crobot