letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de balli aur mein - talha anjum

Loading...

aik dafa zikar hai thori purani baat hai sahi se yaad nai

mera aik dost tha balli, yaaro ka yaar bhaiyo ka bhai

wo dil ka tha bohot he saaf, haan kuch adatein kharab thein

ye baat hai 2012 ki charas sharaab tou sheher mein aam thi

balli gareebi mein bara hua usne dekhi nai shan o shaukat

wo chahta tha paisa bohot saara lene ko ready tha wo koi bhi shortcut

i’ll cut short to jab usne ye socha ke aik pistol chahiye 2 larkay jayein ge, 2 peechay ayein ge, fielding lag-yein ge, kaam dikhayein ge aur phir nikal jayein ge

aur aisa he hua sab lautay ghar ko jaibo mein note he note

balli bhi khush hai wo maaray dum bhi balli ko yaad nai maut

par maut ki baat nai kartay kyun ke is kahani mein wo ag-y aani hai

aja maa tujhay mein shopping karwau tu fikar nai kar paisa pani hai

aja hum ghoomne chalein tu mujhay ghumati thi ab meri bari hai

balli ki maa he thi sab kuch, balli ka baap is dunya mein raha nai

balli ko jaanta tha baray arsay se balli aur mere mein parda nai

balli ka khauf tha larko mein par usay pata tha mein us se darta nai

aur jab bhi milta tha us se mein kehta tha jaani ke ye laanjay theek nai

lekin mein jaanta tha uske p-ss koi degree kya certificate nai

dhoondi par mili nai naukri, ab bhooka tou roti he maangta hai

teri nazar mein wo bas aik dacoit par bhook ko bhooka he jaanta hai

aur upar se aslhay aur nashay ka mix tou humesha hota hai lethal

balli was losing control paise ke chakkar mein thok diya dealer

balli ko dhoond rahi police lagi hui dafa 302

aur tum socho ge mujhay kisne kaha ye sab tou phir tum aag-y suno

“waise tu jaanta haina.. tere naam ki goli pehle balli he khayega..

“tension? sab se bari tension tou tum ho mere liye”

“ye jo bhi ho raha haina tere saath, ye tere kiye ki saza hai”

“jani ye haraam ka paisa kab tak chalay ga? pani ki tarah behta hai ye”

“shaam mein miltay hain jaani, aur haan! abba se mil lena apnay”

verse

ab balli tha rooh posh usay din raat ki bhi hosh nai

wo kisi pe nahi kar sakta bharosa usay pata hai koi uska dost nai

wo sab tou matlab ke loug thay balli akela koi us se close nai

he thought he would die like a hero kyun ke villains ke marnay pe hota soug nai

ab pistol hai haath mein lekin batao na himmat wo kaise juttaye

maa ka chehra ata saamne jab bhi uski ungli trigger pe jaye

maathay se paseena ponchay sar phattay dard se baal apne nochay

sunai dete usay sirens he’s paranoid and he’s violent

wo nikla phir tang akay ghar se

khatam saaray paise khatam hain ch-rs-in

aur aise mawaqo pe hota shaitaan sawaar humaray hawaas pe

mein ne awaaz di balli ko dekh ke wo bola milein ge shaam mein

ab mujh jaisa mehez aik insaan bhalla kya bolay ga khuda ke kaam mein

aur saddar ke aitraaf maaray g-ye hain do namaloom afraad

baraamad hui unke p-ss se pistol kuch phones aur manshiyaat

ab balli tou bacha nahi lekin mera ye gaana hai us he ke naam mein

waada hai mera ke jis din mein maru ga milein ge us he din shaam mein

same spot, tere ipod mein wo hopsin aur k dot

good kid mad city bari sach baat

meri sheher ki hawa mein nai insaan

insaan gumrah yahan insaan

sanjeeda hain mere saaray unwaan

qissay mashoor qabar gumnaam

sunsaan guliya’n hain saari sunsaan

sun le khuda mein dunya se anjaan

sun down, bad sh-t pops, guns out

madadgaar 15 times runs out

balli i’m smoking my lungs out

outro

balli aur mein, balli aur mein

guliyo’n mein, guliyo’n se, [x2]

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...