letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de pukaar - snappey

Loading...

kya hui ye desh ki haalat
na nari suraksh-t naa balak
kolkatta se uttarakhand
hum logoka desh ye bhaarat
aaj desh pe ye aayi hai aafat
aur nayak hi bana vinaashak
harr raah pe mile hai smaarak
jabh nikle insaaf ke talaash par

roz rape ki khabre akhbaar mei
wo cheenkhe gunje sabke kaan mei
naa raha insaan bass rahi kuch yaadein uski aur tasveerein deewar pe

ghulmilke hi rehte hai saanp ye
logoke beech dikhe aam se
poojte hai devi ko par hai ye ma
beheno ko gandi nazro se taadte

yaha mantri bhi kare wakalat
ye ‘ops kare bagaawat
kyu paale pose aise naamard
tagda paisa moti daawat
svatantrata apnе hi pass rakh
hume chahiye hai apnaa haqq
aur shaant nai hoga samaaj jabhtak awaaz na pohochegi purе jahaan tak
haan hog-ya kaafi ab naatak
inn logoki laani hai shaamat
banao kaanun aisa jisse rooh bhi kaape ye sochne ke naam par

kalam karo, inka sar
ya public mei faasi pe taang kar
tum samay ka mahatva jaankar
naari ke garv ko vaapas laakar

aur maana hum aadmi hai aam par
hamaare ekta mei hai taaqat
hum ladhenge aakhri saans tak
lutjae jab ladki ka aanchal

ho badi ya choti, samaan sab
hai ram bhi khada jo raavan
seeta ke dwaar to hoga ramayan
shakti ma ke sath hori haiwaaniyat

ab ispe bhi baithegi saansad
aur khade hoge do teen parshad
iss aag ko ye saakshi maankar
bolenge jhut fir geeta pe haath rakh

ye aag jo lagi hai aaj toh
kardo inko benaqaab abh
chaiye nai mamta ka saath ab
chaiye istifa ye maang rakh
ye aayi hai logoki aandhi
umeed hai fir hogi na aankh bandh
jo layi ye nari ne kranti
ye vaar hona chaiye kaargar
hai humpei aankhei iss jahaan ki
desh ka sammaan bhi hai aanch par
baaki pradhan mantri aap par
aur harr naari ko bolu mai maaf kar

kya hui ye desh ki haalat
na nari suraksh-t naa balak
kolkatta se uttarakhand
hum logoka desh ye bhaarat
aaj desh pe aayi hai aafat
jabh nayak hi bana vinaashak
harr raah pe bane hai smaarak
hum nikle insaaf ke talaash par

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...