letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de quotables - smoke (ind)

Loading...

lowkey rehna seekha, nahi kisi se upset
cheeze badalti he roz so i run fast
bhookha betha shuru se hi, where my lunch at
smoke legend apne sheher ka hai, fun fact

open fire, rapper mare bina context
feature bus bhaiyo ko, kyoki rate some lakhs
rap tere liye job mere liye fun fam
ussi bandi pe hi nazar jiska b-tt fat

ye maine seekha drake se
punchlines seekhi maine sunke gaane wayne ke
main act lagta opеner agar hu same stage
smokе dilli ka, inki aakhein jale dekh ke

mere wordplay bhi fact hai
atke ve flashback
batue me 10 racks
ye rehte mujhse door jaise death threat
main rehta inse door jaise bad breath

smoke pull up kare jaise maut he
ladke subah shaam saath jaise kholne he roze
class topper ki tarah chahiye note hai
zimmedaria badi sapne lagne lage chote
jaha bada hua vo ilaaka nahi posh hai
26 saal ka, hote dekhe rishton mai saude
sarkaar bethke kare bacho ki brainwashing
gharwalo ki tarah na jee saku karke samjhote

ghar pe hai studio, kehta usse batcave
jeb moti chaiye itni log kare fat shame
india ka top 5, not up for argue
dollar seedhe maut kahlon, in charo ke baad hu

kabhi premchand, kabhi kamala das hu
kabhi padha kafka kabhi padhta marx hu
bharat desh developed yaha hota nahi bhed bhav
to rail ke safar me, sath vala puche cast kyu

tu dhyan nhi dera bete beth ja
insta ka algo felara propaganda
tera samaanj baakiyo se behtar chal maan liya
ye alag hi duniya me jeere jaise narnia

jo mujhse kare pyaar unhe naraaz kiya
dard jhela khud naa sharaab ka glaas liya
haters ke mere du shamshaan ka visit
yamraaj ke gate ki du tatkaal main ticket

koi kasar nahi chodhe hum
marathon hai life, tu bus daude chal
ab hassi aati apne rone par
mayine kya rakhe mere kore shabd
ichha thi kuch bada kare jabse the chote hum
gaane bane zariya asliyat main bole kam
khwab zada tabhi sote kam
logo ke caption hai mere lyrics, kyoki saari baatein quotables

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...