letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de kab tak (rap tribute) | justice for asifa and every victim | - sj rapper

Loading...

kaise hai log yaha kaisi hai inki soch
balatkar ki khabre nazar aati har roz

aankhon pe pati bande baithi sarkar
ladki ka karke rape, usko dete hai yeh maar

kaisi hawaniyat main soch ke bhi jata kaap
yeh tab sudhere ge jab jhelenge khudh aap

khudh kate ge jo inho ne hai boya
yeh bhi royenge jaise har ek pariwar roya

khone ka dard tab jake lagega pta
tab ehsas hoga enhe kya ki enhone khata

unka ka kasur jinhe bachpan na naseeb hua
balatkar ko mile maut ab to hai bus yahi dua

aadhi raat badle kanoon naya kanoon na bnaya jata
no rape in india kya sarkar yeh nahi chahta

kya isi ko kehte hai modi ji ache din
mera bharat mahan kehne mein bhi aati hai ab ghin

na jane duniya ka yeh kaisa hai door
insaan hai khamosh aur online kithe shor (x1)

na vo muslim thi na thi vo hindustani
vo thi choti bachi jisne di hai kurbani

kya un haiwano ko masumiyat na dikhai di
jab vo roi hogi unki ch-nke na sunai di

kash koi hota vaha jo usko bacha leta
kash koi hota vaha jo unhe sambhal leta

kash koi hota jo yeh sab na hone deta
asifa hoti jinda to main behan apni bna leta

mujhe na pade fark kya tha uska dharm
khud ko insan bolne mein bhi aati mujhe sharam

kab tak chalega aisa kab tak sahenge hum
kab tak rahenge chup, kab hoga yeh khatam

ladkio ko nahi ladko ko samjhao
ladki k kapde nahi ladko ki soch badao

kab hoga india es rape see aajad
kab ladkia ghum paenge 10 bje k baad

mujhe jawab chahiye apne desh ki awam se
namard hai vo jo ghar baithe aaram se

kis ki bari ka vo kar rahe intezar
8 saal ki thi bachi or darinde the vo chaar

kya beti hogi uspe koi na jaan pae
har jagah dhuhnda pr mandir na koi jae

kyu hawas ke lie chote bacho ko uthate hai
aurat see ho tum kyu samjh na yeh pate hai

kyu itni si baat jati na inke akal
sanp bani bathi hai or insani inki shakal

agar mile jo mujhe main dunga aapa kho
mar dunga jaan see chahe fir mujhe fansi ho

vaise bhi kanoon aaya kis ke kaam
yeh dharam ko pehchante sale dekh k naam

wah mere desh walo dub ke marjo salo
insaniyat bachi hai thodi to aawaz uthalo

sirf asifa ko nahi har victim ko mile insaf
hum unhe na bache pae kya khuda kare ga maaf

yeh hai shardhanjili jo bhi maine kaha
na jane kab ja ke thik hoga yeh jahan

na jane duniya ka yeh kaisa hai door
insaan hai khamosh aur online kithe shor (x1)

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...