letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de zubayedah - simon vikram

Loading...

kho gaya, kho gaya
main dhundu tujhe har jagah, har dafa
nishaan mile jaha tere
main wahi chal pada
sunn zara, sunn zara
main maanta hu dil dukha hai tera
par kuch bhi nahi raha
main tere bina

khayalon mein sirf tu hai
chhap chuka tera naam meri rooh mein
meri zubaani par sirf
tu hi tu hai
tere liye sab kar baitha hu
fir bhi main samajh na pau
tujhko pane ke liye
kiski kami hai

aao, ye duria mitao
aao, apne paas bulao

dekho, meri inn aankhon ko
samjho, mere iraadon ko
ye sach hai tujhko hi chahoon sada
meri zubayedah
dekho, meri inn aankhon ko
samjho, mere iraadon ko
ye sach hai tujhko hi chahoon sada
meri zubayedah
har khoyi baat mein, toote jazbaat mein
adhoore khwaab mein tu hi hai shaamil
par na hai koi gum, na koi gila
kyunki main jaanta ye raabta javedani
aj bhi karta main khuda ko shukriya
ki usne samjha mujhe tere qaabil
ab toh puri duniya bhi jaane, tere mere taraane
par tu dekhe jaise musafir

haan, main jaanta hoon
tera na hona meri khataon ka anjaam hai
par aaj bhi taakta hu
us raste ko jis mein tere aane ki aas hai

aao, zara apni sunao
aao, ab maan bhi jao

dekho, meri inn aankhon ko
samjho, mere iraadon ko
ye sach hai tujhko hi chahoon sada
meri zubayedah
dekho, meri inn aankhon ko
samjho, mere iraadon ko
ye sach hai tujhko hi chahoon sada
meri zubayedah

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...