letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de taare zameen par - shankar mahadevan

Loading...

dekho inhe yeh hai oons ki boode
patton ki godh me aasman se kudein
angdaayi le fir karwat badalkar
naazuk se moti hasde fisalkar
kho na jaaye ye… taare zameen par

ye to hai sardi me dhoop ki kirnein
utthre jo aangan ko sunhera sa karde
mann ke andhero ko roshan sa kar dei
thiturti hatheli ki rangat badal de
kho na jaaye ye… taare zameen par

jaise aankhon ki dibiya me nindiya
aur nindiya me meetha sa sapna
aur sapne me mil jaaye farista sa koi
jaise rango bhari pichkari
jaise t–tliyan phoolo ki kyaari
jaise bina matlab ka pyara rishta ho koi

ye to aasha ki lehar hai
ye to umeed ki sehar hai
khushiyon ki nehar hai
kho na jaaye ye… taare zameen par

haan… haan… aa..
dekho raaton ko seene pe ye toh
jhilmil kisi lau se ude hain
yeh to ambiyan ke khushbo mein
baago se beh chale
jaise kaanch me chudi ke tukde
jaise khile khile phoolon ke mukhde
jaise bansi koi bajaye pedo ke tale

yeh to jhonke hai pawan ke
hai yeh ghungroo jeevan ke
yeh to soor hai chaman ke
kho na jaaye ye… taare zameen par

mohalle ki ronak galiyan hai jaise
khilne ki zid par kaliyan hai jaise
mutthi me mausam ki jaise hawaein
ye hain bujurgo ke dil ki duwayein
kho na jaaye ye… taare zameen par

[taare zameen par]

kabhi baatein jaise dadi naani
kabhi chhlake jaise mum mum pani
kabhi ban jaaye bhole sawalo ki jhadi
sannate mein hasi ke jaise (kho na jaaye ye)
sune hoton pe khushi ke jaise
ye to noor hai b-rs- agar teri kismat ho badi (kho na jaaye ye)
jaise jheel me lehraye chanda
jaise bheed me apne ka kandha
jaise man mauji nadiya
(kho na jaaye ye)
jhaag udaye kuch kahe (kho na jaaye ye)
jaise meethi meethi meethi si jhapki (kho na jaaye ye)
jaise pyaar me dheemi si thapki
jaise kaano me sargam hardam bajti hi rahe
jaise barkha udati hai bundiya
ho.. kho na jaaye ye
kho na jaaye ye…
kho na jaaye ye…
kho na jaaye ye
kho na jaaye ye
kho na jaaye ye..

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...