letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de gandi aulaad - seedhe maut

Loading...

[intro: encore abj]
tu kare roll roll
jaga teri sthaapit
ho chuki
tu ho chuka hai shraapit
tha tu bhagwaan par ab ban g-ya hai naastik to kaae baat ki haar jeet
kaae baat jeena ab
meri rooh mujhe kaate har ang mujhe daante
bole sab ke mai

[chorus: encore abj]
gandi aulaad
bagairat nasal
chakhne me nikla zehreela prasad
gaata paapi gazal
to samjho ke jab bhi mai banunga lash
na bichana kabar
na dena agni
bado ko diye f-ck ni
mai jeeya khudgarz
g-ya andar se sadd
haan mai gandi aulaad
bagairat nasal
chakhne me nikla zehreela prasad
gaata paapi gazal
to samjho ke jab bhi ruke meri saans
na bichana kabar
na dena agni
kisi ko diye f-ck ni
ye dardejigar
g-ya andar se
[verse 1: encore abj]
vo bole waqt mile na dobara
khudi ki ayyashiyo me fass g-ya bechara
khai ragade tab
aur kaii mila ni sahara
dil me mitti bhardi itni sala kamm pade sahara
…ch ch ch
kisi ko farak nahi padta
padta jinse unse khatta ho chuka hai rishta
ladta adato se jitna ho sake vo karta par
surang hai kali chalta aage
phir har 2 kadam pe thukta
aur sala thuku bhi kaisa na jab aagе rasta nahi dikhta
aur rasta dikhe bhi kaise jab asha ka suraj us surang ke annt mе naii chamakta
chahta tha khudse chamakna
mai unme se nahi hu jo kehe dete angoor hai khatta
fir khudse khaya aur paya ki vakai me ye nikla khatte ke upar se kadwa
chukani padi rakame bhot
vo keheti ab bhi ladka nahi karta job
zindagi ka satta ban chuka hip-hop
karu kitna sabit?
jeeyu kitna kitno ke mutabik
dil ke tukde 100 hai leja tujhko jo lage munasib
mai nahi kisi ka dost
na hi hu kahi ka ghalib
f-ck all attitude f-ck all logic leke paane chala srishti par drishti kaam aai na
bas dikhte hai camere
ni dikhta hai aaiinaa
mai..
[verse 2: calm]
swarthee
mahino se ni dekhi mene shakal apne baap ki
na mila bhaiyo bhaino se to saalo se ni pata kitne bade ho g-ye bhanja aur bhanji
bas ganja aur parties ni kari ma zabaan di thi tujhe tabhi mene poori jaan di
door raha me jaan ke tha dhoondra me shaanti waha nani boli cheenu ko to fikkar
hai bas calm ki ha hu
swarthee
inn rishto me pehle jaisi baat nahi
bhool g-ya kaisa tha me aadmi
swaad ma ke haath ka bhi yaad ni
puraane launde bole lodu kare kabhi baat ni
to bata kya kamaaya agar launde khade saath ni aur iss
gandi aulaad ko batado ki kamaale jitna hogi iski firr bhi koi aukaat nahi
yaha girvi rakha pyaar aur firr girvi rakha tha swasth bhi
bas dil bayaan kara tha mission banna nayaab nahi
ye gandi aulaad hai saala napaaq bhi
bas gaane bana baj aur dil bharke khaali sharaab pi
hai ma ko bhi naraazgi par naaz bhi ki bete ne faad di
aur shuru se hi paisa to tha jadd iss fassaad ki
dono paise pe bete se zyada dete the dhyaan
tabhi lakho logo ne sunni uss gandi aulaad ki
mujhe chodd do

[verse 3: encore abj]
mai thakk gya hu mujhko chod do mere haal pe
kuch nahi bacha bas haddiya hai aur khaal hai
oh! aur ek hai zabaan
jisne kha liya hai mera sab kuch
siddhant, aur vishnu bole mujhko apna rakh tu khayal
na darna khade hum hai tere saath
par itni si baat
vo na jaane magar
hai pad jaati jisko hai ghar se hi laat
hai vo jaata kidhar
dhobi ka kutta hi reh gya janaab
use jaane do ghar (jaane de)
an-an-an-an-an-an-anha
[chorus: encore abj]
hun main gandi aulaad
bagairat nasal
chakhne me nikla zehreela prasad
gaata paapi gazal
to sunlo ke jab bhi mai banunga lash
na bichana kabar
na dena agni
bado ko diye f-ck ni
ye dard-e-jigar g-ya andar se-

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...