letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de akela (explicit) - roohaan

Loading...

intro

tere naam ka nasha jo sar chada hai

bin bulaye yun dard aa khada hai

zahir karna hi meri ik saza hai

sach mera jo teri ranjishon se bada hai

verse 1

saalon baad jo milta hai khud ko kho kar hai yeh woh

pyar

pal bhar mein gawa dena aasan kaise hai mere yaar

apna soche mera chhode saath jab apna dildaar

kaash hota main bhi itna beraham jitna woh khuddar

jaali baatein kaali raatein dil ko apne hum samjhate
ke humko hasane wale hi ik din humko rulate

yun dikhate ke hum galat hain ajab hain bilkul nasamajh

tera bada dil hai na? tu ruk ja agar hai itni garaj

kya padi hai tujhe pyaar apna mujhko yun jatane ki

mera dil toh kaanpta hai par phir bhi nibhayega

mere mann ka maamla muqaabala bann jayega

baat bas itni si hai tujhse na ho payega

chorus

(chal)

chal pyar ki apne tu jam kar keemat laga

tere hote hue bhi main yun akela raha

un kasamo vaadon ki unchi boli laga
tere hote hue bhi mujh mein andhera raha

verse 2

mujhe yeh bata tu laati kahan se hai itna guroor

nazar-andaaz karke mujhe karti kyun hai itna majboor

pyaar mein andha jo hua main hai yeh mera hi kasoor

mera yeh pagalpann bhi mitt jayega ik din zaroor

aate hain log jaate hain log tere bina bhi jee lunga main

teri aahaton ke siva bhi mere dard ka sahara

jo bana mera junoon

hua dil ka guzara

khuda ka hai yeh ishara
hai har gham mujhe gawara-haan

zyada dildaari bhi mehengi padti hai zamane mein

ishq ko bhi waqt lagta hai ishq kehlane mein

hum soche saath mil kar jeet lenge duniya par

mashooka ko sukoon milta aashiq ko harane mein

chorus

(chal)

chal pyar ki apne tu jam kar keemat laga

tere hote hue bhi main yun akela raha

un kasamo vaadon ki unchi boli laga

tere hote hue bhi mujh mein andhera raha

intro connect to bridge

tere naam ka nasha jo sar chada hai

bin bulaye yun dard aa khada hai

zahir karna hi meri ik saza hai

sach mera jo teri ranjishon se bada hai

bridge

meri bebasi mere bas mein nahi

teri berukhi mujh par hass ke g-yi

tujhko bhi khud se fursat kahan

chahe jal jaaye mera yeh jahaan

meri haar mein tu jeet g-yi

har raat yun hi beet g-yi

teri zindagi mein

thi kya meri jagah?

outro

woh sama

gumshuda

yaa khuda

di wafa

mili saza

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...