letra de khudbakhud - rawal
kisi ka saath nahi chahiye
bus mera saath hi ho
jo khilte saath mein nahi
un phoolo ko tum kaat hi do
hui aankhe band ye khudbakhud
shayad dekh lia hai bohot
ab raasta tap raha dhoop se
jaise taise naapne do
beete kal ka bhoot hai
jaanta ye sataata roz
hai ek dukh ka basta sab pe
farz hai daal ke chal na dost
hui aankhe band ye khudbakhud
shayad dekh lia hai bohot
ab raasta tap raha dhoop se
jaise taise naapne do
paas aake choom g-yi maatha
sukoon chheena meri ghoom g-yi duniya saari
chal raha tha saath mein tere
par kar raha tha shayad shaitaan se yaari
ab dekhu bistar mera khaali
sava teen neend ka pata nhi
kal ko jo dikhu toh waqt dena nazaro ko
unko judaai pata nahi
pachhtava pachhtaava hoga bhot pachhtaava
jo badha mai raaste pe kadam ba kadam aur
nikla ye raasta khud bhatka sa
mai bhatka sa
zehreela rishta leta bhot kuchh
deta bhot bhot dukh
ab kashti ghusa di bawandar mein maine hi
toh bhala kaisa ye pachhtaava
pachhtava pachhtaava phirta tha
bachata sa, tha mai bacha sa
maasoom rooh ko liye zaalim zamaane mein
tha thoda kacha sa
badti umar se bhala kaun hai badha yaha
kabse mai khada yaha
thokarein kha ke is duniya se andhi dikha kuchh
toh ab farak padta na
kisi ka saath nahi chahiye
bus mera saath hi ho
jo khilte saath mein nahi
un phoolo ko tum kaat hi do
hui aankhe band ye khudbakhud
shayad dekh lia hai bohot
ab raasta tap raha dhoop se
jaise taise naapne do
beete kal ka bhoot hai
jaanta ye sataata roz
hai ek dukh ka basta sab pe
farz hai daal ke chal na dost
hui aankhe band ye khudbakhud
shayad dekh lia hai bohot
ab raasta tap raha dhoop se
jaise taise naapne do
aankhe nahi hoti ye band
dimaag ye hota nahi numb
hota kya zyada mai khush?
agar buddhi hoti mand
sochne ka faayda bhi kya
ye toh oopar waale ki pasand
par hausale mere buland
nahi rukta mai maa ki kasam
par jab bhi leta kadam oopar
das kaayar log baithe muje neeche kheechne ko
chhoti soch inki kaid
thodi si chakki inhe dedo peesne ko
mere saamne mat tu aenth
jo bhi bolna hai bol le tu tameez se bro
in aankho ne dekh lia hai bhot
jo thi dil se sabse zyada kareeb
uski toh ho gyi hai maut
isliye jungli kutta karta hai mosh
isliye daaru peeke hota mai slosh
isliye mic ke saamne karta mai roar
apne logo ki bana raha mai fauj
apni zindagi krta mai record
kala aisi nahi kar sakte ignore
pataal se nikla raasta dia khod
safar mein mile kaafi saare chor
par muh lia modh
chaiye ab sab aur chaiye phir aur
kisi ka saath nahi chahiye
bus mera saath hi ho
jo khilte saath mein nahi
un phoolo ko tum kaat hi do
hui aankhe band ye khudbakhud
shayad dekh lia hai bohot
ab raasta tap raha dhoop se
jaise taise naapne do
beete kal ka bhoot hai
jaanta ye sataata roz
hai ek dukh ka basta sab pe
farz hai daal ke chal na dost
hui aankhe band ye khudbakhud
shayad dekh lia hai bohot
ab raasta tap raha dhoop se
jaise taise naapne do
letras aleatórias
- letra de my way - young jordan
- letra de king of the road (live) - fu manchu
- letra de bottom of the 9th - screeching weasel
- letra de awaken - the empire shall fall
- letra de the visitor - wizard (band)
- letra de sara non piangere - pino daniele
- letra de i was a teenage delinquent! - original cast of love in hate nation
- letra de action speaks faster - difford & tilbrook
- letra de este tema amaste - rastacuando
- letra de little did she know (she'd kissed a hero) - kristy jackson