letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de devi - rap id

Loading...

(bas karo)
aye
(kuch to sharm karo)
kyon chilla rahee hai mere ghar mein
yeh mera ghar hai mera
aur main iss ghar ka maalik
ek kamra hai ek biwi hai aur
aur do nabalik dono kalikh saale
bachpan se paale kamaata main aur khaate yeh phir dete mujhko gaali par sirf
yeh daru hai jo mujhko samajhte hai
padosi nasamajh biwi ko bole bechaari
par vo meri zimmedari meri pali main sher par ab kuttepan ki meri baari
aye sambhal apne bacche ko
saala ise wajah se mera khisakta dimag jagah se mera subah se ragadta chadha
andhera ghar baithke inko kama ke de raha
jeena haram kar rakha hai jaam bhar rakha hai kadwa bhara bathera abe kaise chale bina dawa ke mera kaam
dus hazaar mein se chaar hazaar to aam taur par daam
teen chaar hazaar baccho ke kharcho mein
school ki fees aur bijli ke parcho mein
baki saara yeh kahan udati hai
samajh nahi aata yeh
baasi jo parso ka khaana khilati hai
feeka tadakti hai pani ya sarso mein aur
meethe mein milti bas mujhko khataas
udusi ye maalik ki nikle mulazim pe banke bhadaas
abe jaati kahan hai aa paas
abhi toh baaju tutegi
aankhe neeli aur tu kam nahi sujegi
chamde ki belt se chamdi udh degi
langdi chalegi teri ammi puchhegi ki
ghar mein chal raha kalesh to nahi
chal bhi raha hai to seh le tu beti
karne ki sochio case tu nahi
padosi kya bolenge izzat hamari bhi tere hi hatho mein
maike ki kario bezzati nahi (hahaha)
waise bhi patni to pati vrata
aur sati pratha thi apni hi den videsh ki nahi
abe kya kar rahi hai
apne baap ko phone mila rahi hai
laa idhar main milata hun
kitne thappad tujhe aaj tak marein
kitne aur maarunga aaja main ginata hun
ja aegi kahan tujhe samajh nahi aata mujhse hi palti hai
tujko aur tere in mariyal se pillo ko main khilata hun
chilla haan aur chilla
awaaz mein dard thoda aur mila
arre ye log bachaenge tujko kya jinke buzurgo ka bachkana formula
inko premi dikhe toh ye maarte bolte paas se ek aad ko aur bula
aur dikhe koi jhagda toh bole ke jaane do
ghar ka hai mamla
darr ka yeh samna
ek aurat ke liye toh normal hai
2005 mein law bana
gharelu hinsa jitni rapat mein jati
asal mein hoti hai sau guna
aur chalta hi rahega tabtak yeh jabtak
samjhenge nahi yeh naujawan ki
pati ka patni pe poora haq hota hai
phir chahe kuch bhi kare usko gunah na maan
chahe vo thappad maare ya mukke
woh pyaar kare ya thuke
aye kya kar rahi hai sariya hai mujhko lag jayegi ruk be
ah ah
ae kaha ja rahi hai
ae mere mere bachchon ko chhod de
ae mujhko maf karde maf karde
shayad
shayad bachpan se maine yeh dekha tha
dada ne dadi ko peeta tha
baap ne maa ko ghaseeta tha
behen ko bolte paraya dhan aur main
raja ke tarah hi jeeta tha kyunki main beta tha
shayad shayad shayad main hi itna kamzor tha ki apni nakami ka bojh utha na saka tabhi teri saadgi ka fayda uthaya
shayad shayad main hi itna kamzor tha ki tereko tereko gulaam samjha jabki ghar mein devi devi bolke laya laya

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...