letra de na pata mujhe [romanized] - pathak & abs
[verse 1]
na pata mujhe, dhoondun har gali mein, har thikaane usko
vo aati jaati hai khayalon mein jagane mujhko
na bharte paane mein likhun kuch bhi jab baare uske
bas jalte zakhm jab likhun main uske baare kuch toh
haan, dhoonda shehron mein, chehron mein, har thikaane usko
kya mujhko aaj bhi pehchaanegi? kya yaad usko?
sawaal poochne ko aaya toh kitaab likh doon
jawab dene ka samay na ho toh baat sun toh
[verse 2]
haan, tere jaane ke baad hai mera haal kaisa?
chubhan hai dil mein, maan hai bhaari aur udaas chehra
mere baagiche mein khile bahut se gul kasam se
par tere naam par baagicha, tu kamal aisa
toh hai khila ya ab kisi ne hai ukhad pheka?
vo jugnu si thi, jagmagati, uska haal kaisa?
sawaal poochne ko aaya toh kitaab likh doon
chhodo jaane do, ab janaaze par jawaab dena
chhodo jaane do, khush marne ke mere baad rehna
[verse 3]
haan, tujhko chaand kahun, chamakti be-misaal hai
par tujhko chaand kyun kahun, lage toh usme daag hai
main tujhko phool sa kahun, sugandh kya be-misaal hai
par tujhko phool kyun kahun, murjaata vo bhi baad mein
main tujhko kuch bhi kahun, toh ye kalam mein daag hai
main tujhko rab ka darja doon, toh ye khuda naaraaz hai
tujhko sabr se padha, pasandita kitaab hai
toh sach mein hai bhi, ki kahin pahaadon ke us paar hai?
toh laila majnu wali lehna, aur main intezaar mein
kabhi kabhi main sochun, chhod doon be-wafa maan ke
kyun teri aas mein tabah karun main khud ko pyaar mein?
mere dil ko na kadar, vo hai tabah, toh jaan le
hai usko khud bhi na pata, toh hai kahaan, bas aas mein
aur main kalam se uski baat likh raha kitaab mein
kabhi main dikhna band hua, toh haan pahaadon paar mein
wahi kabar hai meri, majnu tere intezaar mein
main kabse hoon kabar mein, laila tere intezaar mein
mujhe toh kya farq, mera baagicha tere hi naam pe
toh dikhti hai mujhe wahan har subah aur shaam mein
dikhti toh, jab hawa chale, dikhe toh…
[verse 4]
farishte aakar tere baare mein bata gaye hain
main kara waqt zaya apna, vo jata gaye hain
toh uski hai talaash, kar raha vo, paa chuki kisi ko
apne ghar pe kisi aur ko basa chuki hai
vo khush ab sang kisi ke, uske na khayalon mein hai tu
phir mujhko kyun khayalon, sapno mein sata rahi hai?
mere mann mein kuch sawaal phir se aa chuke hain
ye mujhko jeene bhi na dete, mujhko khaa rahe hain
kya uske ghar pe hai pata? kya uski maa ko bhi pasand vo?
uske maathe ko vo choome, ya vo noche sirf j-sm kyun?
usne poocha kya pasand, kis rang ka phool ya sugandh kya?
uski galti par bhi maafi maange, bhale na ho galat vo
uski aankhon se vo darta, phir bhi aankhein hai pasand kyun?
uski khushi ki wajah ya uski galti ka sabak vo?
kitne sawaal mann mein, kitne kar diye dafan ab?
kyunki marr chuka hai dil, na hai pata phir kyun pasand tu?
letras aleatórias
- letra de make it like this - tall black guy & ozay moore
- letra de the coat song - jason steele
- letra de дон жуан (don juan) - горшенев (gorshenev)
- letra de the sun always shines on t.v. (extended version #2) - a-ha
- letra de pieśń ostatnia - miuosh x zespół śląsk
- letra de madame (bonus track) - frstantumbra
- letra de black puffy - manzi fleur & sema solé
- letra de orbán viktor vs márki-zay péter - homokóra
- letra de quiet for a bit - mini lamers
- letra de барби (barbie) - райли майли (riley miley)