letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de shuruaat (remix) - olvin & sancha

Loading...

verse 1 : (san cha)
greatness ke liye ’94 mein tha janam liya
khud pe rahe hausla, isliye piche maine dharam kiya
mere hain apne, aisa bol sabne bharam diya
khud ko khamoshi ka zehar ya phir kaho marham diya
aankhon mein sharam thi na isliye pakdi gardan thi na
auron ke bistaron pe leti dekhi dhadkan thi na
“bhoolunga tujhe na” kuch aisi khai kasam thi na?
likh kar tujhe panno pe kitabon mein ab dafan kiya
bana main shayar mera isme koi dosh nahi
cheekhein mere mann ki khamoshi meri noch rahi
door kahin manzil khadi mujhe khoj rahi
jaanti hai kyuki mere jaise aate roz nahi
laash mere naato ki phoonk kar mali raakh
yaadein kahin dafan shaksiyatein khaak
dard mein bhi dasa logo ne par na kari awaaz
neend ka aabhav sone deta na ye khaab mere

hook: (san cha)
soney na dein mujhe ye mere khwaab hain
laakhon waadey aur junoon bhara saath hai
paaya maine zindagi mein abhi kuch nahi
kyuki, abhi to shuruaat hai
shuruaat hai, abhi to shuruaat hai
soney na dein mujhe ye mere khwaab hain
paaya maine zindagi mein abhi kuch nahi
kyuki, abhi to shuruaat hai

verse 2 : (olvin)
abhi bhi khaab mere hue nahi poore
bina naukri ke kaise paise judey?
sehem jaata hai dil ek baat soch kar
kahin yeh alfaaz kuch saalon me na bann jaayein koodey
kitne hi afsar haathon se bewajah hi chhootey
kitne hi dard ko kia mehsoos dilon ko chookey
raat bhar mujhe neend nahi aai
gavaah hai takkiye par ab tak jo na mere aansu sookhe
kitni hi nadaaniyaan ab lagti hai bhool
nazar andaaz kr deta hun baatien befizool
karte jo vaada they “zindagi bhar hum rahenge saath”
aaj kare na baat dikhey mujhe koso door
mehnat hai jaari par umeed dhalti jaa rahi
maa ko sataye meri padhai aur berozgaari
kya karun dil ki chaahat me yeh kalam bhari
naya din nayi soch naye agaaz ki hai taiyaari

hook: (san cha)
soney na dein mujhe ye mere khwaab hain
laakhon waadey aur junoon bhara saath hai
paaya maine zindagi mein abhi kuch nahi
kyuki, abhi to shuruaat hai
shuruaat hai, abhi to shuruaat hai
soney na dein mujhe ye mere khwaab hain
paaya maine zindagi mein abhi kuch nahi
kyuki, abhi to shuruaat hai

outro:
soney na dein mujhe ye mere khwaab hain
khwab hain, mere khwab hain
soney na dein mujhe ye mere khwaab hain
abhi to shuruaat hai

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...