letra de jawab-e-shikwa - nusrat fateh ali khan
dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai
par nahin, taaqat-e-parwaaz magar rakhti hai
qudsi-ul-asal hai, riffat pe nazar rakhti hai
khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai
ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mera
aasman cheer gaya nala-e-bebaak mera
peer-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi!
bole sayyaare, sar-e-arsh-e-bareen hai koi!
chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zameen hai koi!
kehkashaan kehti thi, poshida yahin hai koi!
kuch jo samjha tau mere shikwe ko rizwan samjha
mujhe jannat se nikala huwa insan samjha
thi farishton ko bhi hairat, ke yeh awaz hai kya!
arsh walon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya!
taa sar-e-arsh bhi insan ki tag-o-taaz hai kya?
aa gyi khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya?
ghafil aadaab se yeh sukkaan-e-zameen kaise hain
shokh-o-gustakh yeh pasti ke makeen kaise hain!
iss qadar shokh ke allah se bhi barham hai
tha jo masjood-e-malaeek yeh wohi aadam hai?
alam-e-kaif hai, dana-e-ramooz-e-kam hai
haan, magar ijz ke asrar se namehram hai
naaz hai taaqat-e-guftaar pe insanon ko
baat karne ka saliqa nahin nadanon ko!
ayi aawaz ghum-angaiz hai afsana tera
ashk-e-betaab se labraiz hai paimana tera
asmangeer huwa naara-e-mastana tera
kis qadar shokh zuban hai dil-e-diwana tera
shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne
hum sukhan kar diya bandon ko khuda se tu ne
hum tau mayal ba-karam hain, koi sayal hi nahin
rah dikhlaen kise rahraw-e-manzil hi nahin
tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin
jis se taamir ho aadam ki yeh woh gil hi nahin
koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain
dhoondne walon ko dunya bhi nai dete hain!
hath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain
ummati baais-e-ruswai-e-paighamber (s.a.w) hain
but-shikan uth gaye, baqi jo rahe but-gar hain
tha braheem pidar, aur pisar aazar hain
badah aasham naye, bada naya, khum bhi naye
harm-e-kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye
woh bhi din the ke yehi maya-e-raanai tha
nazish-e-mousam-e-gul lala-e-sahrai tha!
jo musalmaan tha allah ka saudai tha
kabhi mehb–b tumhara yehi harjai tha
kisi yakjai se ab ehd-e-ghulami kar lo
millat-e-ahmad (s.a.w.) ko maqami kar lo!
kis qadar tum pe garan subah ki baidari hai
hum se kab pyar hai! haan neend tumhain pyari hai
tabaa-e-azad pe qaid-e-ramazan bhari hai
tumhi keh do, yehi aaeen-e-wafadari hai?
qoum mazhab se hai, mazhab jo nahin, tum bhi nahin
jazb-e-baham jo nahin, mehfil-e-anjum bhi nahin
jin ko ata nahin dunya mein koi fann, tum ho
nahin jis qoum ko parwaye nasheman, tum ho
bijliyan jis mein hon aasudah, woh khirman tum ho
baich khate hain jo aslaaf ke madfan, tum ho
ho niko naam jo qabaron ki tajarat kar ke
kya na baicho ge jo mil jaen sanam pathar ke
safah-e-dehr se batil ko mitaya kis ne?
nau-e-insan ko ghulami se chhuraya kis ne?
mere kaabe ko jabeenon se basaya kis ne?
mere quran ko seenon se lagaya kis ne?
the tou aaba woh tumhare hi, magar tum kya ho?
hath par hath dhare muntazir-e-farda ho!
kya kaha? “bahr-e-musalman hai faqt wade-e-hoor
shikwa be-ja bhi kare koi tau lazim hai shaoor!
adal hai fatir-e-hasti ka azal se dastoor
muslim aaeen huwa kafir tau mile hoor-o-qasoor
tum mein hooron ka koi chahne wala hi nahin
jalwa-e-toor tau maujood hai, moosa hi nahin
manfa’at aik hai is qaum ki, nuqsan bhi aik
ek hi sab ka nabi (s.a.w), din bhi, iman bhi aik
harm-e-paak bhi, allah bhi, quran bhi aik,
kuch bari baat thi hote jo musalmaan bhi aik!
firqa bandi hai kahin, aur kahin zaatain hain
kya zamane mein panapne ki yehi baatain hain?
kon hai taarik-e-aaeen-e-rasool-e-mukhtar (s.a.w.)?
maslihat waqt ki hai kis ke amal ka maayaar?
kis ki ankhon mein samaya hai sha’ar-e-aghyar
ho gyi kis ki nigah tarz-e-salaf se baizar?
qalb mein souz nahin, rooh mein ehsas nahin
kuch bhi paigham-e-muhammad (s.a.w.) ka tumhain paas nahin
jaa ke hote hain masajid mein saf-aara, tau ghareeb
zehmat-e-roza jo karte hain gawara, tau ghareeb
naam leta hai agar koi hamara, tau ghareeb
pardah rakhta hai agar koi tumhara, tau ghareeb
umra nasha-e-doulat mein hain ghafil hum se
zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se
waaiz-e-qoum ki woh pukhta khayali na rahi
barq taba’ee na rahi, shaola maqali na rahi
reh gyi rasm-e-azan, rooh-e-bilali na rahi
falsafa reh gya, talqeen-e-ghazali na rahi
masjidain marsiya khawan hain ke namazi na rahe
yani woh sahib-e-ausaf-e-hijazi na rahe
shor hai ho gaye dunya se musalman nabood
hum ye kehte hain ke the bhi kahin muslim maujood!
waza mein tum ho nisara, tau tamaddun mein hanood,
yeh musalman hain! jinhain dekh ke sharmaen yahood?
yun to syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho
tum sabhi kuch ho, batao to musalman bhi ho!
dam-e-taqreer thi muslim ki sadaqat bebak
adal uss ka tha qawi, loos-e-mara’at se pak
shajar-e-fitrat-e-muslim tha haya se namnak
tha shujaat mein woh ek hasti-e-fouq-ul-idraak
khud gudazi nam-e-kaifiat-e-sehbayesh bood
khali az khawaish shudan soorat-e-meenayesh bood
har musalman rag-e-batil ke liye nashtar tha
uss ke aaeena-e-hasti mein amal jouhar tha
jo bharosa tha usse quwwat-e-bazoo par tha
hai tumhain mout ka dar, uss ko khuda ka dar tha
baap ka ilm na bete ko agar azbar ho
phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyunkar ho!
har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan asani hai,
tum musalman ho? ye andaaz-e-musalmani hai?
haidari faqr hai ne doulat-e-usmani hai
tum ko aslaaf se kya nisbat-e-rohani hai?
woh zamane mein mu’azzaz the musalman ho kar
aur tum khawar huwe taarik-e-quran ho kar
tum ho apas mein ghazabnak, woh apas mein raheem
tum khatakaar-o-khatabeen, woh khata posh-o-kareem
chahte sub hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem,
pehle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim!
takht-e-f-ghfoor bhi un ka tha, sareer-e-ke bhi
yunhi baatain hain ke tum mein woh hameeyyat hai bhi?
khudkushi shewa tumhara, woh ghayoor-o-khuddar
tum akhuwat se gurezan, woh akhuwat pe nisar
tum ho guftar sarapa, woh sarapa kirdar
tum taraste ho kali ko, woh gulistan bah kinar
ab talak yaad hai qoumon ko hikayat un ki
naqsh hai safah-e-hasti pe sadaqat un ki
misl-e-anjum ufaq-e-qoum pe roshan bhi huwe
but-e-hindi ki mohabbat mein barhman bhi huwe
shauq-e-parwaz mein mehjoor-e-nasheman bhi huwe
be-amal the hi jawan, deen-e-se badzan bhi huwe
in ko tehzeeb ne har bande se azad kiya
la ke kaabe se sanamkhane mein abad kiya
qais zehmat kash-e-tanhai-e-sehra na rahe
shehr ki khaye huwa, bad ye pema na rahe!
woh to diwana hai, basti mein rahe ya na rahe
ye zaroori hai hijab-e-rukh-e-laila na rahe!
gila-e-jor na ho, shikwa-e-baidad na ho
ishq azad hai, kyun husn bhi azad na ho!
ehd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai
ayman is se koi sehra no koi gulshan hai
is nayi aag ka aqwam-e-kuhan indhan hai
millat-e-khatam-e-rusal (s.a.w.) shaola ba perahan hai
aaj bhi jo baraheem (a.s.) ka imaan paida
aag kar sakti hai andaz-e-gulistan paida
dekh kar rang-e-chaman ho na pareshan mali
koukab-e-ghuncha se shakhain hain chamakne wali
khas-o-khashaak se hota hai gulistan khali
gul bar andaaz hai khoon-e-shuhada ki laali
rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai
yeh nikalte huwe suraj ki ufaq taabi hai
ummatain gulshan-e-hasti mein samar cheeda bhi hain
aur mehroom-e-samar bhi hain, khazan didah bhi hain
saikron nakhl hain, kaheeda bhi, baleeda bhi hain
saikron batan-e-chaman mein abhi poshida bhi hain
nakhl-e-islam namoona hai bru-mandi ka
phal hai ye saikron saalon ki chaman bandi ka
pak hai gard-e-watan se sirr-e-daman tera
tu woh yousaf hai ke har misr hai kinaan tera
qafila ho na sake ga kabhi weeran tera
ghair yak bang-e-dara kuch nahin saman tera
nakhl-e-shama asti-o-dar shaola dawad resha-e-tu
aaqbat soz bawad saya-e-andesha-e-tu
tu na mit jaye ga iran ke mit jane se
nasha-e-mai ko ta’aluq nahin pemane se
hai ayan yorish-e-tataar ke afsane se
pasban mil gaye kaabe ko sanam khane se
kashti-e-haq ka zamane mein sahara tu hai
asr-e-nau raat hai, dhundla sa sitara tu hai
hai jo hangama bipa yorish-e-balghari ka
ghafilon ke liye pegham hai baidari ka
tu samajhta hai ye saman hai dil aazari ka
imtihan hai tere isaar ka, khud-dari ka
kyun harasan hai saheel-e-faras-e-aada se
noor-e-haq bujh na sake ga nafs-e-aada se
chashme-e-aqwam se makhfi hai haqiqat teri
hai abhi mehfil-e-hasti ko zaroorat teri
zinda rakhti hai zamane ko hararat teri
koukab-e-qismat-e-imkan hai khilafat teri
waqt-e-fursat hai kahan, kaam abhi baqi hai
noor-e-touheed ka itmam abhi baqi hai
misl-e-bu qaid hai ghunche mein, preshan ho ja
rakht bar dosh hawaye chamanistan ho ja
hai tunk maya to zarre se byaban ho ja
naghma-e-mouj se hangama-e-toofan ho ja!
quwwat-e-ishq se har past ko bala kar de
dehr mein ism-e-muhammad (s.a.w.) se ujala kar de
ho na ye phool to bulbul ka tarannum bhi na ho
chaman-e-dehr mein kaliyon ka tab-ssum bhi na ho
ye na saqi ho to phir mai bhi na ho, khum bhi na ho
bazm-e-touheed bhi dunya mein na ho, tum bhi na ho
khema aflak ka istada issi naam se hai
nabz-e-hasti tapish aamadah issi naam se hai
dasht mein, daman-e-kuhsar mein, maidan mein hai
behr mein, mouj ki aghosh mein, toofan mein hai
cheen ke shehr, maraqash ke byaban mein hai
aur poshida musalman ke iman mein hai
chashm-e-aqwam ye nazara abad tak dekhe
riffat-e-shan-e-‘rafaana la ka zikrak’ dekhe
mardam-e-chashm-e-zameen yani woh kali dunya
woh tumhare shuhada palne wali dunya
garmi-e-mehr ki parwarda hilali dunya
ishq wale jise kehte hain bilali dunya
tapish andoz hai iss naam se paare ki tarah
ghouta zan noor mein hai aankh ke tare ki tarah
aqal hai teri sipar, ishq hai shamsheer teri
mere darvaish! khilafat hai jahangeer teri
ma siwa allah ke liye aag hai takbeer teri
tu musalman ho to taqdeer hai tadbeer teri
ki muhammed (s.a.w.) se wafa tu ne tau hum tere hain
yeh jahan cheez hai kya, loh-o-qalam tere hain
writer(s): nusrat fateh ali khan
letras aleatórias
- letra de say my name - j-son aftamath
- letra de swing at somewhere - c.o.s.a x kid fresino
- letra de rich port to rich porter - axel leon
- letra de 3am in al zeina - gang shloink
- letra de famous ones - bevan mical
- letra de drowning pt.2 - shouryajackr
- letra de 17 - papa hoodlum & the hard truth
- letra de change - moonlight records
- letra de big racks - sotraninjas
- letra de overstand - amirsaysnothing