letra de sakha - narci
[bhuvan sharma]
are dwarpaalon kanhaiya se keh do
are dwarpaalon kanhaiya se keh do
ke dar pe sudama gareeb aa g-ya hai
ke dar pe sudama gareeb aa g-ya hai
bhatakte bhatakte na jaane kahan se
bhatakte bhatakte na jaane kahan se
tumhare mahal ke kareeb aag-ya hai
tumhare mahal ke kareeb aag-ya hai
[narci]
ek sakha hai shaant aur ek sakha hai natakhat
ek sakha na khaali hai aur ek ki na hai barkat
ek sakha aram kare komal se us bistar pe
aur ek sakha badalta taat pe apni karwat
antar hai kaafi gehra dono ke hi haalaton mein hai
par antar na dosti mein, na hi saanjhi baaton mein
dosti anmol, na dekhe dhan ka tej
na daam kbhi bhi lagte hai tabhi mitaron jazbaaton ke
bachpan mein they saath, aaj virah ki wo khaai sahe
sakha sе zyada saare unko duje ka bhai kahe
ek sudamapuri mеin rehte, ek hai baithe dwarka mein
milke aaja kanha se sudama ko ye raah kahe
vineet rahe sudama ne gareebi ko hi paala hai
naam hari ka j-pte, sudama apni shaala mein
susheela aur santaanon se wo has ke chuppate peeda ko
man mein bole, bhavgy mein kyun nirdhanata ka taala hai
do pal ki khushi ko kismat bhi ye peeche kheenche
do samay ki roti bhi mushkil thi choti chatt ke neeche
ro uthta tha dil sudama ka, wo kya kare?
majboori ko batane bhaage wo bhala kiske peeche?
baat bolne ko susheela bhi ye darti hai
par sudama ke aage baat hridy ki kardi hai
ek naam hai aisa jo samjhega sudama ko
param sakha wo aapke jo baithe dwarka nagri mein
pair sudama ke hai jame par badi hi kashamakash ke beech?
kadam badhate thoda fir sharam se lete peeche kheench
baar baar wo khud se pooche baat yahi nirantar
bal sakha ko ab bhi kya pehchange wo dwarkadhish?
leela hari ki hoti jab, rakhna padta thoda sabar
swyam hari hai baithe wahan jinse chalta saara nagar
yahan sudama soche krishna unko bhool na jaaye
krishna ke par paas hai rehti unki har ek pal ki khabar
[bhuvan sharma]
na sar pe hai pagdi, na tan pe hai jaama
bata do kanhaiya ko naam hai sudama
bata do kanhaiya ko naam hai sudama
tum ik baar mohan se jaa kar ke kahdo
tum ik baar mohan se jaa kar ke kahdo
ke milne sakha badnaseeb aa g-ya hai
ke milne sakha badnaseeb aa g-ya hai
are dwarpaalon kanhaiya se keh do
are dwarpaalon kanhaiya se keh do
ke dar pe sudama gareeb aa g-ya hai
ke dar pe sudama gareeb aa g-ya hai
[narci]
kanhiya tak lekar g-ye sandesha unka dwarpaal
bechain sudama ki aankhein bas gadi padi hai dwar par
dwarkadhish ko bole baat yahi bas dwarpaal
khud ko bataye bal sakha wo aapka hi baar baar
naam sun sudama ka hue kanha bhi bade bekraar
bhaage dwar ko aise jaise saalon se tha intezaar
hontho pe muskaan, ashk ruke na aankhon se
nange pair hi daudte karne bal sakha ka wo deedar
dwapar mein milne chali hai prem se dekho aasha bhi
dwarka saari dekhegi aaj mitron ki paribhaasha bhi
log hue hairaan dekh nazara kanha ka
gareeb se milne bhaag rahe hai dwarka ke aaj raaja bhi
bahar khade sudama ka dhyan tika hai dwar pe saara
toot rahi umeed kahe ab ghar jaane ka bacha hai chaara
pair mude lo wapis par tabhi ruki pairon ki gati
kanha ne jab bal sakha ko apne poore dil se pukara
bina mude sudama ne vaani mitr ki pehchaani
peeche mude to dekha, hai kanha ki aankhon mein paani
ek duje ki aur wo bhaage jaise dono aatur ho
gale laga kar maano yaadein taaza hui saari purani
dekh chaale pairon pe, kanha ka bhi dil hile
milne ka sukoon, dono ke chehron pe khile
rote hue kanha ne sakha ke apne pair dhoye
tapke aanshu seedha aur sudama ke pairon pe gire
sakha ko dekhe kanha aur poocha tum kya soch rahe?
sudama chupate peeda nirdhanta ka bojh dhare
poocha jab kanha ne “kya laaye sakha tum mere liye”?
muthi bhar chawal dene ko wo bada sankoch kare
sudama yahi soche, main kaise bolun mere haalat?
kya bataun main sakha ko, meri katati bhooki raat
laut g-ye sudama bin bole haalaton ko
dwarkadhish jaan chuke they par unki dil ki baat
[bhuvan sharma]
are dwarpaalon kanhaiya se keh do
are dwarpaalon kanhaiya se keh do
ke dar pe sudama gareeb aa g-ya hai
ke dar pe sudama gareeb aa g-ya hai
letras aleatórias
- letra de stuck in a bubble - g-therz
- letra de yalan olur - gökhan tepe
- letra de on the line - emsry
- letra de the lost weekend - the motorcycle industry
- letra de things that collapse - casen pointe
- letra de deseos y delirios (corazón) - pedro fernández
- letra de love me - stevie rizo
- letra de lactation station - themilkm3n
- letra de cheiras a cócó - folha dupla productions (fdp)
- letra de accelorating into brake lights - stavesacre