letra de ram darshan - narci
[prem bhushan ji maharaj]
pata nahi kis roop mein aakar narayan mil jayega
nirmal man ke darpan mein wah ram ke darshan payega
pata nahi kis roop mein aakar narayan mil jayega
nirmal man ke darpan mein wah ram ke darshan payega
[narci]
saans ruki tere darshan ko, na duniya mein mera lagta man
shabari banke baitha hoon mera shree ram mein atka man
bekaraar mere dil ko main kitna bhi samjha loon
ram daras ke baad dil chorega ye dhadkan
kaale yug praani hoon par jeeta hoon main treta yug
karta hoon mehsus palon ko maana na wo dekha yug
dega yug kali ka ye paapon ke uphaar kai
chhand mera par gaane ka har praani ko dega sukh
hari katha ka vakta hoon main, ram bhajan ki aadat
ram aabhaaree shayar, mil jo rahi hai dawat
hari katha suna ke main chor tumhe kal jaaunga
baad mere na girne na dena hari katha viraasat
paane ko deedaar prabhu ke nain bade ye t-rs- hai
jaan sake na koi vedna raaton ko ye b-rs- hai
kise pata kis mauke pe, kis bhoomi pe, kis kone mein
mele mein ya veerane mein shree hari humein darshan de
[prem bhushan ji maharaj]
pata nahi kis roop mein aakar narayan mil jayega
nirmal man ke darpan mein wah ram ke darshan payega
pata nahi kis roop mein aakar narayan mil jayega
nirmal man ke darpan mein wah ram ke darshan payega (x2)
pata nahi kis roop mein aakar (x4)
[narci]
intezaar mein baitha hoon kab beetega ye kaala yug
beetegi ye peeda aur bhari dil ke saare dukh
milne ko hoon bekaraar par paapon ka main bhaagi bhi
nazarein meri aage tere shree hari jaayegi jhuk
ram naam se jude hai aise khud se bhi na mil paaye
koi na jaane kis chehre mein ram humein kal mil jaaye
waise to mere dil mein ho par aankhein pyaasi darshan ki
shaam, savere saare mausam ram geet hi dil gaaye
raghuvir ye veenti hai tum door karo andheron ko
door karo pareshaani ke saare bhookhe sheron ko
shabri banke baitha par kaale yug ka praani hoon
main jootha bhi na kar paaunga paapi muh se bero ko
ban chuka bairagi dil, naam tera hi leta hai
shayar apni saansein ye ram siya ko deta hai
aur nahi iccha hai ab jeene ki meri ram yahan
baad mujhe meri maut ke bas le jaana tum treta mein
you might also like
ram ke charitr mein sabko apne ghar ka, apne kashton ka jawab milta hai
[prem bhushan ji maharaj]
pata nahi kis roop mein aakar narayan mil jayega
nirmal man ke darpan mein wah ram ke darshan payega
pata nahi kis roop mein aakar narayan mil jayega
nirmal man ke darpan mein wah ram ke darshan payega (x2)
letras aleatórias
- letra de xanax tabletki - kamerzysta
- letra de o especialista - creed nap
- letra de bennu - rafael valente
- letra de #freestylefridays (24-04-2020) - zeus (bots)
- letra de going up - e v o (edm)
- letra de paco rabanne [e] - s1sco
- letra de dua - uran
- letra de free smoky - negatiiv og
- letra de joão nada - quarteto 1111
- letra de xo opp llife - stl alex