letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de musafir - nabeel akbar

Loading...

[chorus: owais ov]
khaali safaa
mai tere bin adhura hi raha
kya pata?
mujhko tere baare me kya pata?
aashiq main
isne de di mujhe saza
dil mera
teri yaadon me ho chuka fanah
han

[verse 1: owais ov]
mohabbat ne kabhi jataya nahi
mohabbat ne kabhi rulaya nahi
tere baare me sabko mai kehta raha
tu mujhe kabhi samajh paaya nahi
tu sabhi ke jaan jo dil me baaki
tujhe sab diya wo bhi nahi kaafi
ab mai maangu tujhse kis gunah ki maafi?
mai galat tha
meri galtiyan thi
paas ho ke kyu ajnabi sa?
meri saaya bhi matlabi sa
tujhe waasta meri har khushi ka
tu paas aa bas yahi reh ja
milne ko mujhse
mai intezar me hun
haal ke jao apne
[chorus: owais ov]
khaali safaa
mai tere bin adhura hi raha
kya pata?
mujhko tere baare me kya pata?
aashiq main
isnе de di mujhe saza
dil mera
tеri yaadon me ho chuka fanah
han

[verse 2: nabeel akbar]
kholi maine aankh
uthte saath maine todha tera ek aur khwaab
lagi mujhe pyaas
mera seena jale ek aur din tere bin mujhe jeena padhe
silsile chalte rahe
kabhi na ruke ye kaante ghari ke
seeney meim ghum leke duniya mein chalney ke
mujhko bhi aag-ye tareeke
mera koi puche to keh deta mai khush
hai wo duur mujhse mujhko ummeed hai
kuch aate kuch jaate
koi jeete koi haare
puraani ye duniya ki reetein
nahi mujhe afsos
kya karte ham jee ke yun marte hue roz?
dhundhe mujhe log
yahi pyaar yahi shoq deti kalakaari note
adaakari bahut
ham dekh lete chehre ke peeche ki soch
nai lagi tujhe chot
mere dard ka andaza tujhe hoga nai dost
chor meri fikr mujhe apna nai hosh
mera waise bhi dil idhar lagta nai aur
na jeene ki khwahish na marne ka khowf
magar teri nazar se to lagta hi mouj
mujhme hai taaqat nai
tumhe samjhane ki
jeeteji na sahi
jaan ye bemani thi
zindagi apni ek gham ki kahaani thi
maine bhi sab kuh badalne ki thani thi
galiyon se khatron ki duniya mein sapnon ki
kar raha puri mai khwahishen apno ki
chau me khade sab
jin darakhton ki kya pata kab
wo mehnat hai parson ki
maine kiya jo sab tere liye
manzoor hai mujhe meri jo bhi saza hogi
ladh ke zamane se jis ke liye
wo meri mohabbat bhi mujhse khafa ho g-yi
rabb tere ghar ko bhi khushiyon se bhar de
hai meri dua tum jaha bhi rahogi
kabhi to puchenge log mera tum se
to kya tum kahogi?
mai daaku faraibi?
kya har jagah har heez me galti thi meri?
qismat nai chalti thi marzi se meri
ho g-yi mujhe phir samjhane me deri
mai bhatka musafir tu manzil thi meri
[chorus: owais ov]
khaali safaa
mai tere bin adhura hi raha
kya pata?
mujhko tere baare me kya pata?
aashiq main
isne de di mujhe saza
dil mera
teri yaadon me ho chuka fanah
han

[outro: owais ov]
khaali safaa

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...