letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de beparwah - murtaza qizilbash

Loading...

[verse 1]
(o beparwah)
kya yehi pyaar hai? ya hai yeh tera sitam?
ke tujhe hum bhula na sakay
dil mera lachaar hai
aur ab tou mere zakham bhi mujhe
yoon rula na sakein
kyun ae dil-nasheen?
hai lagta kabhi
ke hokay yahaan bhi tu nahi
yeh khamoshiyaan satayein mujhe
tou sunn le meri yeh sadaein ke

[chorus]
yeh aankhein hain nam
mein tanha, tu jaanay na
ke tera sanam hai ruswa
tu jaanay na
o beparwah

[verse 2]
sambhalo mujhe
yeh mehkada bewafa hai bara
larkhara jaon ga
mujh se bacha lo mujhe
be-aasra hoon yahaan mein khara
mein kahaan jaon ga?
haan, ae dil-nasheen
andheron mei hi
behta jaon ga mein
zindagi, yeh sargoshiyan rulaein mujhe
aur madhoshiyon ki hawaon mei
[chorus]
yeh aankhein hain nam
mein tanha, tu jaanay na
ke tera sanam hai ruswa
tu jaanay na
o beparwah

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...