letra de tune jo na kaha - mohit chauhan
mmmm mmm mmmmmm… mmm mmmm
tune jo na kaha
main woh sunta raha
khamakha bewajah khwaab bunta raha
mmmm mmm mmmmmm… mmm mmmm
tune jo na kaha
main woh sunta raha
khamakha bewajah khwaab bunta raha
jaane kiski humein lag g-yi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
dur chahat se mein apni chalta raha
khamakha bewajah khwaab bunta raha
dard pehle se hai zyaada
khud se phir yeh kiya wada
khamosh nazrein rahe bezubaan
ab na pehle si baatein hain
bolo to lab thar tharatein hain
raaz yeh dil ka
na ho bayaan
ho g-ya ke aasar koi hum pe nayi
humsafar mein toh hai
humsafar hai nahi
dur jaata raha
paas aatha raha
khamakha bewajah khwaab bunta raha
aaya woh phir nazar aise
baat chidne lagi phir se
aankho mein chubtha kal ka dhuwaan
haal tera na hum sa hain
is khushi mein kyun gham sa hai
basne laga kyun phir woh jahan
woh jahan dur jis se g-ye the nikal
phir se yaadon ne kar di hai jaise pehel
lamha beeta huwa
dil dukhata raha
khamakha bewajah khwaab bunta raha
tune jo na kaha
main woh sunta raha
khamakha bewajah khwaab bunta raha
jaane kiski humein lag g-yi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
dur chahat se main apni chalta raha
bujh g-yi aag thi
daag jalta raha
letras aleatórias
- letra de a word - heryos
- letra de broken system - playboy the beast
- letra de do you wanna roll to figueroa - damu ridas (bloods)
- letra de pizza time never ends con líricas - iilmations
- letra de nothing to lose - elisa tovati
- letra de enemigo público número 1 - barricada
- letra de arquero volante - gon romé
- letra de high time - rie sinclair
- letra de 僕のマシュ・・・ (gentle whisper) - セラニポージ (serani poji)
- letra de i thought that you loved me - nicholas tyler