letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de atyachar - mic pe monster

Loading...

kiss baat pr akad dikhate ho
kiss nazar se nazar milate ho
gunah to tumne bhi wahi kiye
jin gunaho ko galat btate ho

kiss baat pr akad dikhate ho
kiss nazar se nazar milate ho
gunah to tumne bhi wahi kiye
jin gunaho ko galat btate ho

mai baat kar rha maa baap ki
aur unki jahil harami aulad ki
wo khud se kuchh nahi bolenge
to unki dard ko apni awaaj di

jo bachpan se posa or pala tumhe
jo bachpan se diya niwala tumhe
badle me kya tune diya unhe
aaj unke hi ghar se nikala unhe
bade nazo se pala hai aulad ko
ab samjhte nahi dard maa baap ka
koi pakd kar inhe aye-saa maut do
or bta do saza inhe iss paap ka

ek dost hai mera mai-name nahi lunga
kahani hai uski or kuchh nahi kahunga
iss gane ke baad ab-wo dost nahi rahega
or iss baat ka koi affsos nahi rahega

ek maa thi uski lachar bahot
bidhwa bhi thi or bimar bahot
nashe me itna wo din raat rehta ki
bhul chuka hai wo baap-ka maut-
ye kahani nahi kisi еk ki hai-
maine bahot nalayko-ko dekh kar-gane
likhnе me din raat ek ki hai
maa baap ka dukh inko dikhta nahi-
apne-saram ko salo ne becha kahi jo
maa ko bheje ye paese kamane ko
khud to bistar se hilta nahi

paap to tum sale kar hi rhe kyu khud ko itna girate ho
kaha se aati hai sahas tumhe jo tum baap ko aankhe dikhate ho
ye jahil jb bcha tha ladta tha aapas me
maa ke sath sone ko
ab kaha se aati hai takat tumhe jo tum maa par hath uthate ho

kiss baat pr akad dikhate ho
kiss nazar se nazar milate ho
gunah to tumne bhi wahi kiye
jin gunaho ko galat btate ho

kiss baat pr akad dikhate ho
kiss nazar se nazar milate ho
gunah to tumne bhi wahi kiye
jin gunaho ko galat btate ho

kitna bhi bojh kandhe par tha lekin uff na nikla maaa baap ka
maa baap bhi soche ye beta hamara aaj ban gya kyu kala saaanp sa
budhape ki chinta satane lagi kyuki ghar ka wo aakhiri chiraag tha
future ki khusiya jo kl tak dekhi thi ab lgta hai sb ek mirage sa

uss nov mahine ke dard ka puchho jo maa ne usko saha hai
unn paero ke chhalo ka dard bhi socho -jo baap ne kuchh na kaha hai
wo mare ya jiye bachpan se aaj tak tera bhala hi chaha hai
ab dikhta nahi unka pyar tujhe teri biwi ne andhha kar daala hai

kyu socha nahi maa baap ke jaese tu bhi budha ho jayega
tb beta tera tere nakshe kadam par chal tujhe bhi sabak sikhayega
jo boyega biz wapas wo biz se faal bhi to waesa hi aayega
apne hi ghar se beghar hokar-tujhe wo dard-unka samjh me aayega

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...