letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de shayariyan - maddoxhiphop

Loading...

(hook)

zindagi meri shayariyan, zindagi meri shayariyan
kala mujhe dundhe mai dundhu uski nishaniya
ye dhalti hue shaamein bolein kitni aur kahaniya?
jo soch bhi ni sakta tha mai khudko wo banadiya
(x2)

(verse 1)

mai khud ko wo bana diya jo soch bhi ni sakta tha
mai khud ko waha pahunch diya ja pahunch bhi ni sakta tha
zikar ab karte mera jab ho dewaano ki baat
kyuki nikla bheed se wo jo us bheed me bhi kho sakta tha

par khoya ni wo, andheri raaton ke kaanto me
hausle bebaak uske vasl uski aankho me
aaftaab urooj to wo dhundhe bas araam aur
ped jhele dhoop khud baitha usski chaown me

hate is blind and so is love – oscar wilde
kya wo sunenge mere kore lafz?
khayal aata ki mai hu sabse alag kyu
fir kabhi sochu kaash mere jaise hote sab

ehsaas ki hai baat sun khayaal-e-yaar
parinda azaad tha na kisi ka mohtaaj
shama jo hue roshan dikha nahi parwana
muntazir hu ussi ka, lag-ye baitha aas
jo na ho saka wo mera, kisi ka nahi mai
aur jo ho g-ya wo mera, khud hi ka nahi mai
wo kehte mere jaiso se wafa ki kya umeed
hu insaan, kalakaar phir khuda bhi nahi mai

kisi se kya hi lena ab? akela hi mai theek
zyada shanti pasand, shaamein aur sangeet
uth chuka hai dil ab har, khwahishon se bhi
chal rahi hai kashmakash, hogi haar ya fir jeet

(hook)

zindagi meri shayariyan, zindagi meri shayariyan
kala mujhe dundhe mai dundhu uski nishaniya
ye dhalti hue shaamein bolein kitni aur kahaniya?
jo soch bhi ni sakta tha mai khudko wo banadiya
(x2)

(verse 2)

gum-e-dil ki jagah jam-e-gafeer mein na
wafa mili hume, kabhi hi na
kabhi mila shikwa to kabhi gila
falak pe chalte the kabhi ab zameen bhi na

koi rafiq bhi na, jo de mera saath ab
kon kare dekh bhaal kon puche haal ab?
khudse hu milta din dhalne ke baad mai
ujala jab tak rehta karta khudse bhi ni baat tak
masroof mai fasa zindagi ke chakarchaal me
ye maya ka jo moh jeete jee leleta jaan ye
pata mujhe ye baat ki mai har jagah se maahir
fir bhi bojh leke baitha jab ki kuch na mere haath me

to kehna hai chahta kavi hona tu mayus kabhi
zinda hai tu isse badi nahi koi uplabdhi
bura hai waqt to wo beet hi jayga dost
muskura kal se naya tu savera payga jo

(hook)

zindagi meri shayariyan, zindagi meri shayariyan
kala mujhe dundhe mai dundhu uski nishaniya
ye dhalti hue shaamein bolein kitni aur kahaniya?
jo soch bhi ni sakta tha mai khudko wo banadiya
(x2)

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...