letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de boy who survived - maddoxhiphop

Loading...

(verse)

ghar me chota sabse par sabse bade khwaab
umar bas ginti, par mujh me thi kuch alag baat
wo baat jo, har koi tha anjaan jiss se
chalo fir tumhe bhi sunau kuch anjaan kisse

15-16 kuch umar thi, jab chadhi kalakaari
bhed chal karu mai bhi aisa mera saleekha ni
fauj ya hip hop inhi do mai tha mai bhramit
kya karu sangeet ya fir banu mai bhi adhikari

jaanta ek cheez tha bachpan se hi rachanatmak
mai kaise banu alag socha karta tha har baat par
phir likhne laga socha jo aur likhta raha raat bhar
waise hi tha me soya jab utha mai soch kaha par

lagne laga tha mujhe bhi mai bakiyon sa nahi
jaha thi na milti izzat mai shamil hota tha nahi
samman ka tha lobhi mai rakam to choti cheez
aaj bhi wahi usool rakhta pehla sangeet

jaise, likha tha pehla verse 2018 me
tabhi se kalakar tabhi se banjara mai
ek wo din aur aaj, likhte hi jaara mai
khud kitna kaabil ye to likh ke hi jaana mai
asaan nahi ye sab aur mai aadi mushkilo ka
chal chalan sabhi jaane mera taur tareeka
alh-e-dil kuch ke liye, kuch ke liye bujh dilo sa
kuch baatein rahe dil me kuch ka dukh ni hota

waisе bhi, mai kon, jo manunga bura han
kya 7 khoon maaf mere? karunga gunah han?
zamane mе tu jee raha wo kisi ka bhi nahi
kon mai? kon tu? aur kon yaha khuda han?

to likhta kahaniya mai dhalte shaam hi
padha d-nkar aur padha iqbal bhi
wo kehta tha jaunga dekh lena tu
aur g-ya wo aisa na mila ek baar bhi

par wardi ke liye, pyaar hai aaj bhi
mai surkhiyon me rahu par pasand hai saadgi
mai naau me hu jis uska mai hi maanjhi
kaagazi ni baatein par ye baat hai kaagazi

vyang meri soch me dimag hi sabdkosh hai
hosh me likhu gaane bharta kagazein me roz ke
khoj me khudki hu mai kar sakta ye mehsoos mai
dhundhta khud ki rooh mai, dubta usme hun mai

aaj ki hi baatein jo kal ki hongi yaadein
in yaadon ke fasano me likhta jo afsanay
subah mai uthu derr kaali karta apni raatein
abhi bhi inko shanka par ye jaane na iraade
mere, pehlu me bas ye do hi hai cheezein
ek kalakaari aur mere apno ki umeedien
unhi ke liye sab milta hausla unhi se
doori se karta baat na kareeb bhala unhi se

par, sabhi ke liye pyaar hamasha iss dil me
bhale hi wo khilaaf par mai upar rakhta rishtey
samajh sake jo haal-e-dil wo mere apne log
banna chahu mai umeed unki na ki unpe bojh

daman me na daag jo lage the wo bhi mere na
pangtiya jo mai likhu humare hi bas darmiyan
mai vaasna se door tha vipaasna ke pass han
wo asman h mera jispe nazar rakhta sara jahan

tareefo ka haqdaar wo jo sach me uske kaabil
meetha bolne wale kayi par kyu dil unka khaali
khudi ka mai udharan, ye kala hi meri darpan
sabhi ko rakhta mayne kalakaar ya fir darshak

kabhi na bhule duniya mai hu sadabahar
milu na kabhi ghar me rehta hu sada bahar
pehle tu padh mujhe fir mil mujhse tu
mere naam ka paryayvachi ek hi sammaan

aur mai likhta bas likhne ko ni nahi ye mera kaam
vachan diya to wahi sab bhale hi jaye praan
milenge kalakaari ke do hi sirf pehlu
koi hoga mashoor to koi gumnaam

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...