letra de nuqta e nazar - maarij & wustaaz
[verse 1: maarij]
tujhe mujh mei tu hi nazar aaye, haan
tabhi dukh mei tu bhi nazar aaye
be-qaabu tu, tujh pe koi jaadu hai kya?
ya phir tujh ko buri nazar khaaye?
aur tu dekh ke meri in ankhon mei
kar deti andekha sab kuch, shumaar hoon kya laashon mei?
sirf tujh ko hi chahun aur tujh ko hi maangun barsaaton aur khwabon mei
aajzi meri na jaaye, mere ilawa tu dairi na aaye
phoolon si teri hai khushbu
tou baaghon ke liye koi meri na raaye
tu mera naam tou le
kaanch mei tu paanch ghoont jaam tou le
thori saans tou le
meri yaadein phir zehen mei laa kar tou dekh
duniya ko hum bas tamasha lagein
har koi dunya ke liye kamaata rahay
mera nuqta-e-nazar tou iss duniya kе baad
tu duniyadaari kyun samjhata rahay?
ab kya sochun? kya bolun?
kamra band karke kya ro loon?
dil tou zamanon se toota para
ab tak jurr na saka tou kya kholun?
[chorus: wustaaz]
mein tеri khushbu se tou waaqif hoon
na hoon jin se waaqif mein yeh rang jo badle tu
ab jhoomun pathar rakh ke dil pe mein
bhaari mera seena saans mushkil se bharun
na tujh se waasta raha
par be-sakhta khara mein tere darr pe jaanay kyun?
hai mujhe teri tou khabar nahi
tujhe bhi asar nahi, mein kuch bhi ‘gar kahun
[verse 2: wustaaz]
ab mein bhi woh raha nahi jo tha kabhi
ankhon mei tu dekh jaanam, nazrein tou utha kabhi
ab mujhe nahi aarzu teri
phir bhi waqt nikaal ke thora apna chehra tou dikha kabhi
mein bhatka milay raah nahi
iss dard ki inteha nahi
ab kam ho gayi khwahishein, mein kisi se khafa nahi
tu ne saadgi se kuchla dil mera
tu huwi kab rawaana mujhe pata bhi chala nahi
mein kabhi tere pyaar mei tha, ab rahoon nashay mei
mein kabhi tere paas tha, mein ab rahoon akelay
mein likhta hoon yeh gaanay, likhnay ke dhoondun bahanay
mein kabhi bohot azaad tha, par ab rahoon mein faded
jaana, mainay nahi rakhta tera aana
mujhe sunti jaisi tu hai waise hi sunta hai zamaana
haan, mushkil hoon mein, pata hai meine maana
i won’t change, ’cause i can’t, mein nahi ro sakta dobara
raastay jaatay hain badal, saaray rung aatay hain nazar
jaise tujhe nahi hai qadar, waise mujhe nahi hai khabar
jaise chalta hai musafir woh jo jaanay apni manzil nahi
bolun kam mein aadatan, mein lagta hoon par sangdil nahi
mein vasvason ke qabzay mei yoon dhoondta hoon tishnagi
mein jaantay huwe bhi wajah dhoondta hoon hijr ki
mein waaqif hoon na teri khushbu se, tou jaan-e-man
bhalay tokta zamana, kisi ki na maanein hum
[chorus: wustaaz & maarij]
mein teri khushbu se tou waaqif hoon
na hoon jin se waaqif mein yeh rang jo badle tu
ab jhoomun pathar rakh ke dil pe mein
bhaari mera seena saans mushkil se bharun
na tujh se waasta raha
par be-sakhta khara mein tere darr pe jaanay kyun?
hai mujhe teri tou khabar nahi
tujhe bhi asar nahi, mein kuch bhi ‘gar kahun
letras aleatórias
- letra de special! - caroline (us)
- letra de blood - yenstaar
- letra de afterlife - olan
- letra de bulletproof water - anto11
- letra de we are life (moti remix) - stadiumx & sebastian wibe
- letra de pull me through - sick individuals
- letra de giura - diluvio
- letra de twixbar - sunshine christo
- letra de you belong // built myself - swardy
- letra de trippin - trenchbabyeli