letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de recovery - kayden sharma

Loading...

[verse 1]
har din main karta anxiety se deal
nahi aati meku aasani se neend
bol bhi nahi sakta main kya hota feel
nahi malum mere ku kya rehta chill
rastey bhat ke phir bhi datt ke
badha main aage sab se ladh ke
jeera tha darr ke dekha ni ghar ke taraf mudh ke
chhoona main falak chooma mein falak chhoona hai falak
jalaya bulb nachaaya club
lagta nahi darr ab padhta nahi farak
rasta ye galat khatre mein halak
sihayi bhi khatam par rukti nahi kalam
bhaagya mera jeetara ye nagar
aalas ka asar toh toda main palang
badhaana hai rakam dikhata nahi shakal
jab hota nahi safal safalta ki talab
dil pe hai zakham mic pe aate hi bantein woh marham
sangeet ki sangat se behalta mann ab
qala ke sang ab
khuda ka brahm toh
toh padhti na garaj
akad se bhasad jab hoti toh hunar
ye kheench leta dard toh ugaara fasal
gaane nahin ab banara main ghazal
khuda meri hustle pe kha thoda taras
kalyug pe kalank ye konsi nasal
jalan mein jalkar buddhi sabki brasht ab
dekhun palat kar toh maare ye khanjar
[chorus]
anxiety toh badan ke har kone mein rehti
par mardon ku ye duniya kaiku rone nahi deti
thak g-ya sona hai maa ki palkon pe par
zimmedaariyan ye saali merku sone nahi deti
anxiety toh badan ke har kone mein rehti
par mardon ku ye duniya kaiku rone nahi deti
thak g-ya sona hai maa ki palkon pe par
zimmedaariyan ye saali merku sone nahi deti

[verse 2]
koi nahi chahta ki hum log star bane
rishtedaar meri mummy ke kaan bharein
bole ki main gaano mein cheekte rehta main puchha
dete bhi kya tum dard ke seewaan
sunn meri jaan mere andar ka haal
mere gaal pe woh sukhe padhe ashkon se jaan
woh bhooth ke baare mein meri family se puchh
jo bhooth mere sarr pe bachpan se sawaar
har jagah meku chhaana television ya akhbaar
har time rehta main mere ghar se bahaar
ye harkaton se pareshaan mera parivaar
anjaane mein ho jaate merese tiraskaar
mere baap ke hum chaar bachchein
teen behen aur last ka main
shaadi karna hai teeno ki
baap ki umar 52 hai
karza chukaana tha qala rakha girvi pe
qala meri lut g-yi ruka nahin phir bhi main
[bridge]
chalta hi rahunga chalta hi rahunga
dooboonga hi nahin aisi kashti hoon main
sunta nahin kiski karta bas dil ki
tere hisab se ye ghamand hai toh
ghamandi hoon main chal

[chorus]
anxiety toh badan ke har kone mein rehti
par mardon ku ye duniya kaiku rone nahi deti
ab thak g-ya sona hai maa ki palkon pe par
zimmedaariyan ye saali merku sone nahi deti
anxiety toh badan ke har kone mein rehti
par mardon ku ye duniya kaiku rone nahi deti
ab thak g-ya sona hai maa ki palkon pe par
zimmedaariyan ye saali merku sone nahi deti

[outro]
ah-ah
ah-ah

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...