letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de isha 3.0 - kalam ink

Loading...

phirse hai usi same kamre mein kaid
main likhne ko yaadon ko teri
darwaza band lada mein maa se
tabhi oh khana ni deri

par mujhe bhi bhukh nahi lagti
ab khane mein kha raha hoon
khudi ko khudko mein
ab dekhna upar se mujko
taara banau jamini insaano mein

haan dm likhte the log ke
kalam ke gaano mein
pahele jaisa dard nahi
par mujhe bhi jisam ki bhukh hai
tere kyu ichhaye hai mard ki
haan tujhse ab duri hi sahi hai
kyuki jab pass toh dard ki wajah tu
haan tujhko mein bhool sa g-ya hoon
maar na hathon se deti ni saza tu

kyu isha tu samjti nahi hai
tujhko to lagta yeh sab kuch asaan hai
par tujhe yeh samajh nahi aata hai
saale ki bhuto se darta insaan hai
tujhe bas atul hi chahiye
tabhi tu aaj tak tu bhatak rahi duniya mein
main chah kar bhi nahi de sakta mujhe
please yeh baat le maan tu
main kitna chupau iss duniya se
ki haan tu mere sath mein nahi hai
par raaton ko shayad jaakti tu khidki se
tabhi toh mere yeh neend haram hai
haath mein dekhun jab tettu mein tera
to dil karta saale ko jala ke phek doon
haath ko kaat ke dafnaadu zameen mein
tabhi toh shayad tu mere se juda ho nahi

saali tu jeene ka degi
tujhe toh lagta hai sab kuch hai tera
haan chaal tujhse maafi hoon maang raha
bhool g-ya tha mein sanam hoom tera
tu upar se dekh ke roh deti hai mujhko
tu asmaan jad barasta hai zameen pe
naam likha hai zameen pe tera
par khudko nahi likh sakta mein dam

aaj na ab pass mein mere
haan kaafi ajib si baat hai
haan naam ke sath kama raha hoon lakh
par usme na woh wali baat hai
dam ab likhne yeh dard nahi de rahe
kyu samjte saale fans ni mere
yeh jaisa bolenge mein waisa karunga
haan marne ke baad hi milunga tujhe
ab mein aaunga god mein teri
tu firse sula dena haath ko rakh kar ke
rounga cheeta mein subhe se raat tak
farak nahi mujhko ki kaisa yeh saman hai
cheeta ki aag woh bujh si g-yi hai
par teri woh aag kyu ab tak hai zinda
mein bachpaan mein dekha tha
jalte huye dujhe
aur abhi toh jalna mera baaki hai

toh milenge usi paar hum
iss narak ke duji paar hum
yeh duniya nahi samjti yeh rishte
yeh jaanti nahi kya hota pyar ab
tu aake lee ja zameen se
mujhe ya khuda ko mere se sifaarish de
tune chua nahi hai saalon se
toot ke baras aur chule is baarish se

hum kaafi toote se hai
hum tumse roothe hai
hum kaafi toote se hai
hum tumse roothe hai
hum kaafi toote se hai
hum tumse roothe hai
hum kaafi rothe se hai
hum tumse toote hai
hum kaafi toote se hai
hum tumse roothe hai
hum kaafi toote se hai
hum tumse roothe hai

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...