letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de magajmaari - kaafir music & v-shaedy

Loading...

[verse 1 : kaafir]
dost bole aansu aaye toh chupa mat
par mai bolu mujhe kisi ki zarurat nahi
mere khwaishon pe kaante tu chuba mat
dekhne ke laayak
chhodunga mai teri soorat ni
sahi galat kya hai mujhe tu suna mat
kabhi harkatein galti se ghoor apni
meri laash se ni hona kuch baraamad
bas milega saboot jidhar likha, rakho door apni
neeyat aur nazron ko, mere se kaafi
mai jeena ni chahta murdon ke mutabik
aur karzon mei dooba jab itne gunaahon ke
karlunga firse gunaah bhi
jab maalum ki saza ke taur pe
laga denge firse sab dosh ek
ya kho dunga firse mai dost ek
farak ni padta hum waise kahan close the?
oh, sorry! agar hue tum offend
kyuki shayad sunne walon mei ho sakte vo friend
jinkе na hone ya hone ke maynе hai na ke baraabar
aur sachi mai bolu ni karra pretend

[chorus : kaafir]
haan! mujhe paalni ni magajmaari
na mai chaahu ke tum karo meri tarafdaari
khaayi ragdein sau, ho chuka vo aadmi jo
tere joothe dilaason ke liye bhi hai taras ta ni
haan! mujhe paalni ni magajmaari
na mai chaahu ke karo tum meri tarafdaari
khaayi ragdein sau, ho chuka vo aadmi jo
tere joothe dilaason ke liye bhi hai taras ta ni
haan!! hu mai khafaa
par wajah gile ki tu jaanta hai kaafi dhang se
toh
aaio na halka kareeb mere ab se vo, shaks
jisse padta tha farak sala kabse vo
mara pada bheetar hi bheetar iss sar ke toh
mujhe mat aank
idhar mere penchkas aur udhar teri aankh
aage dastoor hoga jo bhi
uska paltu na banna toh behtar hai aaj

[verse 2 : v-shaedy]
fusfusake raat din
kari hain khud se baaten lazmi
to mujhko munh uthake baant nahi
vo salahen ki kaise banate hain naye dost
naye aadmiyon ke saamne rakhun bartaav kaisa
kya hi hai manana mera pyaar
kya hi dushmanon se karwana sulah
jab se seekh chuka dosti main karna apne aap se
jab se seekha hai manana sabse ziddi insaan ko
kaam – kaaj, roti, kapde ki yeh bhaag daud
samjh aane lagi
umr ka aya jaise hi padhav vo
jab ehsaas ho na band hua
ki dost mere sirf saaye ya insaan koi
inth ka hai ghar ya mirage?
oh! kahin? nahi?
tumne mujhe to ni soch rakha hua vo tasveer
jisko dekh ke lagate aisa bann ne ki umeed
mazaak se hai hatke yeh baat
na! itna zor kaun dalega ek cheez pe
baawala hai nayanheen vo
jo dawa ki umeed hai lagata ek takleef se
main ni chah rha aisi zimmedari
main ni chah rha, na
[chorus : kaafir]
haan! mujhe paalni ni magajmaari
na mai chaahu ke tum karo meri tarafdaari
khaayi ragdein sau, ho chuka vo aadmi jo
tere joothe dilaason ke liye bhi hai taras ta ni
haan! mujhe paalni ni magajmaari
na mai chaahu ke karo tum meri tarafdaari
khaayi ragdein sau, ho chuka vo aadmi jo
tere joothe dilaason ke liye bhi hai taras ta ni

haan!! hu mai khafaa
par wajah gile ki tu jaanta hai kaafi dhang se
toh
aaio na halka kareeb mere ab se vo, shaks
jisse padta tha farak sala kabse vo
mara pada bheetar hi bheetar iss sar ke toh
mujhe mat aank
idhar mere penchkas aur udhar teri aankh
aage dastoor hoga jo bhi
uska paltu na banna toh behtar hai aaj

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...