letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de khushiyaan - iconik

Loading...

verse 1

aaj dil ke kafilon me kafiye sajaye hain

meine zindagi ki kitaab se saare hashiye mitaye hain

aaj lagge jese maaji se ye pal

phir laut aaye hain

mein kya hi kahun

iss raat ne kitni raatein hain jag-yi

chaandni bhi roshni ke taalib si nazar aayi

aaj saari chahatein manmarzi pe hain, utar aayi

pehle jo dar dar dhoondhte the jo khushiyaan

aaj un khushiyon ka thikaana hi nahi

aaj dil bhar aaya hai, mera

bedilli ka sirhana hi nahi
ab besabar se pal hum nahi ginte hain

ab bedardi ki galliyon me hum nahi phirte hain

ye befikri ke phool

ab barsaat me bhi khilte hain

ye alam chaar din ke hain

kissi ke darmiyaan nahi tikte hain

waqt ke tarazu par

kismat ke azam nahi dikhte hain

ye zindagi jeena toh sikha deti hai

lekin zindagi ko jeena hum khudhi seekhte hain

hook

aaj na koi chinta, na koi gum
aaj khulke jeeyenge hum

aaj na koi chinta, na koi gum

aaj khulke jeeyenge hum

verse 2

aaj zehen me wo shabd na aaye

jo khushiyaan zaahir kar paaye

ye dillagi jazbaaton se aesi

chehra toh koi padh jaaye

rang bhare toh kore kaagaz bhi muskuraye

farsh se arsh takka safar

ashkon se kese tham jaaye

jab bin roshni aks bhi na nazar aayein
toh zindagi ka har modh manzil se kese nawaza jaye

kamaye pal safar ki kadar seekhayein

anchahay pal bhi khushi se apnaye

ab dil me jagah de jo afsurdagi

aesi koi wajah hi nahi

itihaas gawah hai

umeedon ki bandagi me nazariya soch ka kabhi sajah hi nahi

jab dil me zinda hai zinda dilli ki raza

toh bakhoobi nibhayenge kidaar jo ho mila

bridge

arre kisse aakhen tum churaoge

kiske liye palkhe tum beechaoge

kisko dekh tum muskuraoge

kiske chehre pe muskaan tum laoge

kiske liye todhne phool tum jaoge

kisko kaaton se bachaoge

bhai zindagi ke ups and downs me tum jeena todhi na bhool jaoge

isliye

aaj se

hook

na koi chinta, na koi gum

aaj khulke jeeyenge hum

aaj na koi chinta, na koi gum

aaj khulke jeeyenge hum

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...