letra de dastak - homiie
verse 1
mai vo shakhs jisne likhe nahi khat
sabko laga pura hua iska waqt
likhe nahi shabdh bas tha lapata
kabse khaylo mai yaha khada
charo aur andhera mahino se khili nhi dhoop
dabav ke bhoj se mai raha tha doob
khatam hogai thi ichha aur g-yab thi khushi
dheere dheere bhar aa rahi aag jo paani mai thi chuppi
bhatak jaate hai raste zindagi hai bhool bhulaiya
har mod pe likh kahani kyuki badi hai duniya
dhundne se mil jaati h manzil agar theek hai nazariya
maine galtiyo se seekha aur mauka cheen liya
talwar jaise mera pen
sach likhu sab jaye seham
beqarar ab karu na reham
mai karunga quit kaise paala ye veham
jab zakham tha zamane se koi aaya nahi ashiaane
vo asteen ke saap chle mujhe aazmaane
mai jo chalta kadam uske hi likhta fasaane
ye gaane views ke liye nhi aaye rooh ko jaagne
choru na kasar ragon mai daude khoon garam
kar ke karam sabke khatam karu bharam
thodi kar ke sharam chal ke dekhna mere kadam
maa kasam jaanke raqam ho jaenge veham bhasam
hook 1
ek rooh fass gai khudke banaye jaalo mai
jaise bandh diya ho duniya ne dhago se
kamzoor thi vo nasamjh ruki bhano se
pinjre mai parindo ke intezaar mai saalo se
dastak ka jawab na de darti anjano se
uspe hi chabhi fir kyu ked salakho mai
anjaan thi per azaad thi dur apne khyalo se
ek rooh fass gai thi khudke banaye jaalo mai x2
verse 2
kaafi waqt se asa hi kuch haal
khushi se zada udaasi lagne lagi kamaal
jo thi dikat uspe jaladi mashaal
kudrat ne bola andar ke shaitaan ko bhej pataal
maine fursat se beth uske saath kari baat
usne kaha vo aur mai alag nhi ek hi insaan
ab raha nhi mehmaan mai hu teri pehchaan
tabhi pakad ke zubaan usse gaad aya shamshaan
tabse raahein badali khud m paya mai jhaak
khud se thi jung aur khud ke khilaaf
haath pe haath rakh ke milta nhi hai insaaf
gehri nind baahein kholti maine khol li aankh
dhundla hai manzar per hone laga savera abhi
har ek kadam aage aur roshni badhne lagi
akela nahi mai wapis umeed aagai
lamba safar per pehli manzil dur nahi
woi sapne lekin zada hai bhook
myaan se bhar nikli talwaar jo thi chup
haavaao ne ek dum badal liya rukh
kamaan se nikle teer ka nishana sakta nhi chook
choru na kasar ragon mai daude khoon garam
kar ke karam sabke khatam karu bharam
thodi kar ke sharam chal ke dekhna mere kadam
maa kasam jaanke raqam ho jaenge veham bhasam
hook 2
ek rooh fass gai khudke banaye jaalo mai
jaise bandh diya ho duniya ne dhago se
kamzoor thi vo nasamjh ruki bhano se
pinjre mai parindo ke intezaar mai saalo se
dastak ka jawab na de darti anjano se
uspe hi chabhi fir kyu ked salakho mai
anjaan thi per azaad thi dur apne khyalo se
ek rooh fass gai thi khudke banaye jaalo mai x2
letras aleatórias