letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de dukandaar - gravity

Loading...

[verse 1: gravity]
nazariya mera alag, dekhu jo woh poora sach
yaha log aate khojne bas sochne ko waqt
dhundhte escape, kamre mai na rehna band
kyuki ek ghar mai 10 log aur khudse hai nafrat
uh, yeh hai sachai bombay ki
karde vidaai tere sochne ki
sutta chuse bache, cigarette bechne wala mai
yeh paan ki dukaan, yaha baithne wala mai
bachpan se yaha baith maine dekha kya nahi
kitne dost bane dushman, kitne katte haath bhai
yeh steel factory waale chhod aate ghar, yaha khote apne ang
jeevan kya disha deti
ungliya hai aadhi, dekho pet bharne ab na haath hai kaafi
aur bldg waale bacho ke hai haath main chaabi
aate gaadi mai, inko peeni roz sharaab hai
kyuki inko lagta inki zindagi kharaab hai
heh, kya mazaak hai
yaha gareeb marte peeliya se
upper middle class waale ghume le nashili aakhein
bache karte roll, baap g-ya desi daaru mai
aur maa se na ab pyaar, woh apne kaam ke kaabu mai
toh apne doston ke hi saath nashe, chori-chakaari, fasne pe na koi rihaa kare
pita ki hai dukaan, yaha baith
seekhi duniyadaari, duniya meri mamuli na hai
[hook]
ha, mai hu paanwala, dekhi jo hai duniya yaha daam kam aur kaam zyada
paanwale ka ladka, jo bhi maine dekha dede tujh jaise ko sadma. (×2)

[verse 2: gravity]
bachpan se jo hai dekha woh na kar sakte undekha
yeh pita ne diya gyaan hai
apne parivar se hojaana dur
kamaane do roti, umar 11 saal mai
kya hota hoga hum jaise jaane nahi
bachpan se maa thapki maarke sula jo deti
par woh uss umar mai raaste pe neend maarke, kaam dhundhe, duniya unki aakhon dekhi
na karte woh hai baatein behki, karwatein hai itni badli, kismat bhi palatte rehti
dhokhebaaz mile itne unke gine-chune dosto ki ginti maine ghatte dekhi. tabse unka rehta dhandhe pe dhyan, kyuki jo bhi hai dariya mai dooba neki ke saath
kitne ghar aaye g-ye, bikte peti ke bhaav
kabhi bhookhe na soye jitna bhi badhe dabaav
ab mere badhe hai paav, mai chala roshni ki orr
bada garv mere seene mai, hai mastishk mai chaud
sikha bohot mere janak se, falak chhuke cheerna
khudki zindagi ka mujhe banna hai maseeha

[hook]
ha, mai hu paanwala, dekhi jo hai duniya yaha daam kam aur kaam zyada
paanwale ka ladka, jo bhi maine dekha dede tujh jaise ko sadma. (×2)

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...